Mobikwik pe account kaise banaya jata hai. Aur mobile recharge kaise kiya jata hai. Mobikwik Promo Codes Aur Coupons kaha se check kare. Iski madad se hum online recharge, DTH Recharge, Electricity Bill Payment and shopping, kar sakate hai. All details aapko is post me di gayi hai.
Mobikwik Kya Hai?
Mobikwik ek
e-wallet hai jiski help se online recharge, bill payments, and bus ticket kar
sakate hai. Aur mobikwik aapko cashback offer deta hai. Isliye aaj mobikwik bhi
kafi popular ho chuka hai. Aur mobikwik aapko points bhi deta hai jab aap koi
recharge, karate hai tab aapko kuch point’s deta hai, jo 4 points Rs.1 ke
barabar hote hai.
Mobikwik
account banane ke liye hume email id aur bank account ki jarurat hoti hai.
Account Kaise Banaye?
Step
1:
Mobikwik.com ki site pe chale jaye. Ya Phir Mobikwik App yaha se download kare.
Agar mobikwik app download karate hai aur Rs.50 add karate hai to usme aapko Extra Rs.50 milenge.
Agar mobikwik app download karate hai aur Rs.50 add karate hai to usme aapko Extra Rs.50 milenge.
Step
2:
Create
Wallet pe click kare.
Step
3:
Ab aapke samane
ek form aayega usme aapko
1. Email
id
2. Password (8
Character Ka)
3. Phir Mobile
Number Dale
Terms and
condition ko agree kar aur Create Wallet pe click kare.
Step
4:
Ab aapka
account bana gaya hai.
Recharge Kaise Kare?
Account to bana
liya hai ab janate hai ki mobikwik se mobile recharge kaise karate hai. Sabse
pahale mobikwik me login kare.
Step
1:
Recharge pe
click kare.
Step
2:
Ab aapka mobile
number dale jispar aapko recharge karana hai.
Phir operator
dale e.g. Airtel, Idea, Vodafone
Amount dale
jitane ka recharge karana hai.
Aur Circle me
aapka state select kare.
Recharge now pe
click karde.
Step
3:
Ab aapko promo
code dalna hai promo code dale aur apply pe click kare. Niche pay pe click
karde.
Promo code kaha
se find kiya jata hai ya kya hota hai. Promo code ka use karane se aapko
cashback milata hai.
Promo code
aapko mobikwik ki site pe hi mil jata hai. Aap upar Offers pe click
kare. Aur aapka niche kis prakar ka offers chahate hai wo promo code select
kare.
Step
4:
Aapko appko
payment karani hai. Payment karane ke liye aapke samane three option hai.
3. ATM Card
Isme se aap jis
prakar se payment karana chahte hai wo select kare.
E.g. Credit
card/ Debit Card
Card Number: Me apne ATM ka number dale
Expire date: ATM Card pa jo date hai wo
dale
CVV Code: CVV code dale jo ATM ki back side pe hota hai.
Processed pe
click kare.
Step
5:
Ab aapke mobile
number pe OTP aayga us OTP ko dalkar payment confirm karde.
Aapka recharge successfully
ho jayega. Aapka jo cashback hai wo bhi 5-10 minutes me aapke account me jama
ho jayega.
To is prakar
aap DTH Recharge, Electricity bill pay kar sakate hai. Aur isko sath hi aapko
cashback bhi milata rahega.
Agar aapko kisi
bhi step me koi problem aarahi hai to comment me jarur bataye.
Really amazing tips to create mobikwik account. I would like to suggest aal people who visits this post use mobikwik to transfer money online
ReplyDeletemobikwik ma email I'd kase change karu
ReplyDelete@ JP Kumawat,
DeleteMobikwik me profile me jake email id change kar sakate hai.
Sir me mobikwik ka cashback kaise upyog kar sakte hai mere pass 111 rupaye ka cashback h aur vo mere walet me bhi nahi Aa raha hai
Delete@ Shankar,
DeleteCashback pane ke liye aapko coupon code use karana padega. Aap google pe "Today Mobikwik Coupon Code" Search kare. Aur use kare aapko cashback mil jayega.
Mera otp bhul gaya hu kya karu batao
ReplyDelete@ Papun,
DeleteTo procedure phir se karo.
Dear sir mujh jio ka Rs.399 ka recharge karna hai per mera promo code nhi mil rh hai kya karu mai new account hai
ReplyDelete@Goving,
DeleteAap "JIO149" Ya phir "NEWJIO" Use karo aapko Rs.149/300 Supercash milega.
Mere pass 150 supercash hai lekin mai payment karta hu to supercash use nahi hota hai.mujhe supercash use karna hai. Plzz halp
ReplyDelete@Mobikwik me jo supercash hoti hai, wo agle recharge ke samay use hoti hai, aur iski expiry bhi hoti hai.
Delete