Blogger.com pe
blog banana bahut hi simple hai. Blog banane ke bad blog me jo powered by
blogger attribution hota hai use kaise hatate hai, is post me janege. Ise
hatane ke baad aapka blog ek professional website me convert ho jata hai.
Jab hum
blogger.com pe koi blog bana lete hai tab uske niche footer me ya sidebar me
powered by blogger ka attribution hota hai jise user ko pata chal jata hai ye
website hai ya blog. Agar aapne blogspot me custom domain add kar liya hai to
phir aapko ye remove karana padega jisse aapka blog, website me convert ho
jayega.
Powered By Blogger Kyon Remove Kare?
Kyon ki blogger
ye ek free platform hai jis par koi bhi blog bana sakata hai. Blog banake ke sirf 5 minutes ka time lagata hai par usse website me convert
karane ke liye hume domain purchase karana padata hai.
Jab koi reader
aapki site pe aata hai to use ye powered by blogger dikhayi deta hai, to wo
samaj jate hai ki ye site blogger pe banayi gayi hai. To aapki site ka
impression down ho jata hai, agar aap isse remove kar denge to reader ko samaj
me nahi aayega ye site hai ye blog. Jyadatar user websites ko pasand karate
hai.
Powered By Blogger Ko Kaise Remove Kare?
Iske liye aapko
niche jo step batayi gayi hai usse bade dyan se follow karana hai.
Step 1:
Blogger ke
dashboard pe chale jaye.
Step 2:
Ab niche
template -> Edit Html pe click kare.
Step 3:
Ab Jump to
widget pe click kare.
Step 4:
Aur waha pe
Attribution pe click kare. Ab aap directly us code par chale jayenge jaha pe
aapko niche ki tarah code dikhayi dega.
Usme <b:widget id=’Attribution1′ locked=’true’ title=” type=’Attribution’>
Yesa code hoga.
Step 5:
Ab is code me Locked=’false’ karana
hai aur template ko save kar dena hai.
Step 6:
Ab blogger ke
layout pe chale jaye. Ab sidebar se attribution ke samane edit pe click kare.
Step 7:
Edit karane ke
bad aapke samane ek pop up window khul jayegi waha se remove pe click kare.
Step 8:
Save
arrangement pe click kare.
Ab aapka blog
open karke dekhe powered by blogger remove ho gaya hoga.
Agar aap mobile
pe bhi blogger template use kar rahe hai to aapke mobile me powered by blogger
dikhayi dega iske liye aapko mobile pe bhi show desktop template ye select
karana padata hai. Kayi template me css coding ki gayi hoti hai jab aap footer
se unki link remove kar dete hai to aapka blog unki site pe redirect ho jata
hai. Isse remove karane ki thodi si different method hai jo mai apni next post
me bataunga.
Agar aapko is
attribution ko remove karane me dikkat aarahi hai to comment me jarur bataye. Post
pasand aayi ho to apne friend’s ka sath share karana na bhule.
Great
ReplyDeletebest post karte ho sir
ReplyDelete