Google adsense address verification kaise kare, AdSense address verification pin ko submit kaise kare. Adsense me pin kaise verify kare.
Google adsense ke bare me new blogger ko sahi tarah se pata nahi hota hai, new blogger sochate hai ki adsense ke liye kaise, kab apply kare, adsense ki payment hume kaise mailati hai, adsense ka pin kaise verify karana hota hai.
Google adsense ke bare me new blogger ko sahi tarah se pata nahi hota hai, new blogger sochate hai ki adsense ke liye kaise, kab apply kare, adsense ki payment hume kaise mailati hai, adsense ka pin kaise verify karana hota hai.
Is tarah ke kayi sawal unke man me
aate hai, to aaj hum adsense ka pin kaise verify kiya jata hai iske bare me
janane wale hai.
Google Adsense Address Pin Kya Hota Hai? Kyon Jaruri Hai?
Ye ek Personal Identification number
hota hai, jo google ki taraf se hume bheja jata hai. Isme 6 digit ka ek pin
hota hai.
Jab humare google adsense account
me $10 ho jate hai, tab humare adsense account me hume ek red notification show
hota hai jo “your payments are currently on hold because you have not
verified your address.”
Ye notification hume tabhi show
hota hai jab humare adsense me $10 ho jate hai.
Google adsense behat hi secure
hai, isliye google kya karata hai jab humare account me $10 ho jate hai tab wo
ek PIN generate karata hai jo hume speed post (curiyar) se humare registered
address par bheja jata hai wahi pin hume apne adsense account me enter karana
hota hai. Ye pin unique hota hai.
Google adsense ne address
verification ke liye threshold amount tay ki hai, jo India ke liye $10 hai, jab
hum apni threshold amount tak pauch jate hai, tab humara pin generate hota hai.
Pin Generate hone ke bad hume wo
pin 2-3 week me humare registered address pe aata hai.
Adsense Pin Verify Kaise Kare?
Step 1:
Apne adsense account me sign in
kare.
Step 2:
Aapke homepage pe jo “your
payments are currently on hold because you have not verified your address.” Ye
notification dikhayi dega uspe click kare. Ya phir setting me jake payment phir
account information pe click kare.
Step 3:
Agar aapne pahale hi apna address
provide kiya hai to automatically $10 hone ka bad aapka pin generate hoga. Aur
agar aapne adsense me apan address nahi provide kiya hai to Payee profile ko
edit karake apna address fill kare.
Step 4:
Pin generate hone me hi 3-4 din
lag jate hai aur aapke address par pahuchane me 25-30 din tak ka time lag
sakata hai. Ye time aapki location par depend hai.
Step 5:
Jab aapko pin receive ho jayega
tab homepage pe jo notification show raha hai us pe click kare.
Ab apna pin enter kare aur submit
pin pe click kare.
Step 6:
Ab aapko niche ki tarah message
show hoga.
“Thank you! Your pin has been
entered correctly and the PIN hold on your account has been removed.”
Some FAQ’s Pin Se
Related:
1. Pin receive hone me kitna time lagega?
Pin receive hone me aksar 2-3 week
lagate hai, isse jayada bhi lag sakate hai agar aap kisi popular city se dur
hai. Aur agar aap kisi popular city jaise Mumbai, Delhi, Hyderabad, is tarah ke
city me rahate hai to 2 week tak pin receive ho jayega.
2. Mera pin 45 din ho gaye phir
bhi receive nahi hua.
Pin ke liye phir se try kare hum 3
baar pin generate kar sakate hai.
Agar iske alawa aapke man me koi
sawal ho to aap comment me jarur bataye.
0 Comments: