Blog Kaise Banaye - ब्लॉग कैसे बनाए, Blogger Par Blog Kaise Banaye. Har koi yahi sochata hai ki website kaise banaye iski Jankari kaha milegi, website banane ke liye kin chizo ki jarurat padati hai. Is post me hum yahi janane ki web designing kya hai. Iske jariye website kaise banayi jati hai.
Aaj internet
par kayi websites maujud hai unko dekharkar kabhi kabhi hume bhi lagata hai ki
yaar kaash agar mai bhi website bana sakata. Lekin knowledge na hone ke karan
hum upset ho jate hai. Isliye maine ye post likhi hai taki jo new user hai unki
samaj me aa jaye ki website kaise banayi jati hai iske liye kin chizo ki
jarurat aapko padegi.
Website Banane Ke Tarike?
Website banane
ke kafi tarike hai usme se mai aapko kuch batane ja raha hu.
1. Professional
Website
2. Blog
1. Professional
website:
Professional
website ka matlab kya hota hai, ye hum first understand karenge.
Iske liye aapko
web designing ke jo coding, languages hai unko sikhana padata hai.
Professional
Website: Facebook, paytm, flipkart, college websites etc. kuch is tarah ki hoti
hai jisme databases ka use kiya jata hai. User login ho sakata
hai, apni information update, delete kar sakate hai.
In websites ko
banane ke liye aapko programming languages sikhani padati hai.
E.g. HTML,
CSS, Adobe Photoshop, PHP, ASP, Java script etc.
Agar aap
professional website banane ki soch rahe to iske liye aapko pahale web designing
languages sikhani padati hai. Aap iske class laga sakate hai, ya phir aapki universities
me bhi ye courses available hai.
E.g. BCA,
MCA, B.sc (Computer Science) etc.
Agar aap ye web
designing languages sikh jate hai to aap koi bhi professional website bana
sakate hai.
2.
Blog:
Blogging ke
bare me to aapne internet par kafi padha hoga aur kayi popular blog bhi dekhe
honge. To chaliye janate hai ki blog kaise banaya jata hai blog banane ka
fayada kya hai. Blog ko website me convert kaise karate hai.
Blogger.com ye
google ki free service hai jis par koi bhi blog bana sakate hai iske
liye aapko sirf Gmail id ki jarurat padata hai.
Blog banane ke
liye aapko koi web designing ki languages nahi bhi malum to koi farak
nahi padata hai. Kyon blogger.com is prakar design kiya hai ki isee har koi use
kar sakate hai.
Blog Banane Ke
Liye Kin Chizo Ki Jarurat Padati Hai:
1. Gmail id:
Agar aapke pass
Gmail id hai to aap blog bana sakate hai.
2. Blog Ka
Topic:
Ab second most
important baat aati hai blog topic ki. Blog topic yane aapko blog kis chiz par
banana hai mera matlab hai ki aap blog par kya share karana chahate hai. Blog
topic choice karate samay ye dyan rakhe ki aapko kis chiz me jayada interest
hai usi ke bare me blog ka topic select kare.
3. Paise Kitane
Lagate hai:
Agar aap
blogger par hai to ye free hai iske liye aapko paise karach karane ki jarurat
nahi hai.
4. Blog Update
Kare:
Blog banane ke
baad blog par har 1-2 din me post karate rahe. Blogging se related other
websites ko refer kare aur unse sikhe ki blog ko rank me kaise laya jaye. SEO ko tik tarah se understand kar le.
Blog Ko Website Me Kaise Convert Kare:
Ab aapne blog
bana liya lekin aap chahate hai ki use ek website me convert kaise kare. To
chaliye ye bhi jan lete hai.
Blog ko website
me convert karane ke liye kuch chizo ko tik se understand kar le.
1. Domain name:
Bahut se logo
ko isse understand karane me dikkat aati hai. Aapko domain name ke bare me
vistar se batata hu.
Jab aap blog
banate hai to blog ka address kuch is tarah hota hai.
Yourblog.blogspot.com
isme jo .blogspot.com hai ye domain code hai agar aapko .blogspot.com ko
nikalkar yoursite.com is tarah convert karana hai to aapko domain name
purchase (kharidana) padata hai. Iske liye aapko paise dene padate hai.
Agar koi offer chal rahi hai to domain Rs.99 me bhi mil jata hai nahi to
Rs.600 lagate hai aur ye 1 saal ke liye hota hai.
2. Hosting:
Hosting kya
hoti hai: Hosting yane hume apni website ka data internet par save karane ke
liye jo space (jaga) lagati hai usse hosting kaha jata hai.
वेबसाइट का डेटा जैसे images, पोस्ट , videos सेव करने के लिए इंटरनेट (server) पे जो जगा लगाती है उसे होस्टिंग
कहा जाता है.
To agar aap blogger par sirf domain lete hai aur hosting nahi bhi lete to
koi pareshani nahi hai aap blogger par free hosting ka labh le sakate hai.
Agar aap WordPress pe site ko transfer karana chahate hai to iske
liye aapko hosting karidani padati hai. Jiske liye aapko monthly paise dene
padate hai. Uske alag alag plan hai. WordPress pe aapko hosting ke liye monthly
Rs.500-600 pay karane padate hai.
Lekin WordPress pe transfer karane ke liye aapko web designing
ka knowledge hona jaruri hai.
Kya Website Banakar Paise Kamaye Ja Sakate Hai?
Hum jo bhi kam karate hai uske piche koi na koi maksad hota hai. To aap man
ye question jarur aayega ki website se kya hum paise kama sakate hai kya? To
iska answer hai haa.
Paise Kaise Kamaye Jate Hai?
Agar aap professional web designer hai to aap colleges, companies,
organization ke professional website banakar paise kama sakate hai.
Agar aap blogging ke jariye paise kamana chahate hai to iske liye aapke
pass bahut sare option available hai jisme se first choice hai Google AdSense, then affiliated marketing, other site ki advertisement karke etc.
Apne blog pe aap google ki ads lagakar paise kama sakate hai. Sabhi blogger
is tarah hi kafi acchi kamayi kar lete hai.
Ab aapko apne sabhi question ke answer mil gaye hoge ki website kaise
banaye agar ab bhi aapke man me koi question hai to niche comment ke jariye
jarur bata sakate hai.
Ye post acchi lagi ho to apne dosto ke sath jarur share kare.
0 Comments: