Top 15 On Page SEO Techniques Blog Optimize Karne Ke Liye

Hello, Blogger aaj hum bat karenge On Page Seo techniques ke bare me. Bahut se new blogger blog banate hai aur puchate rahate hai ki meri blog pe traffic nahi aa rahi, mai apne blog ko search engine me kaise lavu. To aaj unke liye ye post hai jo apne blog ko search engine me lana chahate hai.

On Page SEO Techniques

On Page SEO Techniques Kya Hai:
Yane Search engine me humara blog lane ke liye hume apni site me kuch badlav karane hote hai jise on page seo techniques kaha jata hai. Jisme ata hai blog post design, post title, interlinking etc. Aap to janate hi hai ki blogger ye ek google ki free service hai jiska har koi use kar sakata hai. Har din internet pe lakho new blog banate rahate hai. Agar aapko us lakho blog me apni alag pehchan banana hai to aapko SEO ko follow karana padata hai.



Top on page seo techniques:

1. Perfect domain name select kare:
Agar aapko apne blog ko search engine me lana hai. Apni khud ki ek pehchan banani hai to aapko sabse pahale ek perfect domain name lena padega. Domain name lene se reader aapke blog pe trust karenge aur aapka blog professional legega. Agar aap custom domain nahi lete hai to aap bahut hi piche raha jayenge. Aur bahut si advertisement site hai to subdomain ko swikar nahi karati jaise (.blogpost.com). Agar aap blog se paise kamana chahate hai to aapko pahala kam ye karana padega ki ek perfect domain buy karana padega.




2. Blog Template Design:
SEO Optimization me apne blog ka design bhi bahut important hota hai. Agar aap blog ko sahi tarah design karate hai to user aapke blog ki taraf attract ho jata hai. Wo aapki site pe bar bar aana pasand karate hai. Template design karate samay extra widget ka use na kare. Blog design ko simple and attractive rakhane ki koshish kare.



3. Page Speed:
Agar aapne blog design accha kar liya to uske bad aapko ye dyan dena hota hai. Aapke site ki speed kya hai aapke site ko open hone me kitna time lagata hai. Search engine ya jo reader hai wahi site par jana pasand karate hai jo site fastly open ho.
site ki speed 3-4 seconds se kum honi chahiye warana user aapki site ko chod kar chala jayega aur aapke site ka bounce rate bad jayega. Site ki speed check karane ke liye aap GTMatrix ya Google Page Speed ka use kar sakate hai.
Blog ke homepage me 5-7 hi post show kare. Unnecessary widget, external java script ka use na kare. Images upload karane se pahale unhe compress kare.
   


4. Title Optimization:
Blog ka title jitna unique ho utne user aapki site ki aur attract ho jayenge. Blog me title optimization ye seo ke liye sabse bada factor mana jata hai. Title use karate samay usme targating keywords use karane chahiye.
Title Optimize Kaise kare:
Title: Title 60-70 words ka hona chaiye use agar bada likhenge to search engine isko ignore kar dega.
Keyword: Title me targeting keywords ka use kare.
e.g. On Page Seo Techniques:
Numbers and Famous Words:
Aaapke title me numers aur famous words ka use kare.
e.g. Top 10 Seo optimization techniques.





5. URL Optimization:
Url optimization karane se bhi blog traffic me badiya sudhar ho sakata hai. Url ko hi permalink bhi kaha jata hai. Hume aapne blog post me custom permalink ka use karana chahiye.
Jab aap post likhate hai tab aapke samane custom permalink ka option hota hai use edit karke aap permalink add kar sakate hai.
Permalink Kaisa Ho:
1. Short Permalink use kare.
2. Permalink me bhi targeted keywords ka use kare.


3. Permalink me se extra word ko remove kar de.
Before Optimization:
Seo-optimization-kya-hota-hai-aur-blog-me-seo-optimization-kaise-kare
After Optimization:
Blog-seo-optimization

ye bahut hi lamaba permalink hai isko aapko chota aur unique banana hai isme jo extra words hai use bhi remove kar dena ha.

6. Image Optimization:
Humare blog ki speed jayada tar images par hi depend hoti hai. Isliye hume images ko seo ke hisab se optimize karana padata hai.
Imags Optimize kaise karate hai.
1. Images me alt aur title tag ka use kare.
2. Images ki size ko resize aur compress kare.
3. Blog me post related kum se kum 1 image jarur honi chahiye.
4. Bahut Jayda images na use kare.
5. Copyrighted images na ho. Aap free stock images use kar sakate hai.



7. Heading Tags:
Blog post me heading tags ka hona bhi utna hi jaruri hai. Blog post me hume apni jo main heading hai use h1 aur jo baki ki subheading hoti hai unhe h2, h3, h4 use karana hai. Blog me aapko heading –h1, sub-heading –h2, minor –heading –h3 use karana hai.
Heading Optimize Kaise Kare:
1. Bar –bar heading ka use na kare mera matalab hai agar aap ne ek bar h1 use kiya to aap usi post me dobara h1 nahi use kar sakate.






8. Post Content:
Jab hum koi post likhate hai to agar hume wo post search engine me fastly index karani hai to aapki post me jo content hote hai wo bilkul original aur unique hone chahiye.
Post content me kum se kum 700 se 1000 words hona jaruri hai.
Ab aap ye puchenge ki yesa kyon. Kyon har ek search engine ki policy hai ki jo reader hote hai unhe unka jo query, ya sawal hai uska tik tarah se jawab mile. To search eninge ka yesa manana hai ko agar hume kisi topic ko acche se samajana hai to usme kum se kum 700-1000 words lagate hai.
Isliye search engine unhi post ko first page pe dikhata hai jsse user ki sawal ka sahi jawab mil jaye.
Post content bilkul original aur quality oriented hona jaruri hai.
Kahi yesa na ho ki aapne post to likh li 700-1000 words ki par user ko usme kuch bhi samaj nahi aa raha tab us post ka koi importance nahi rahata.
Post Me Bold, Italic, Underline Uer Kare:
Post me hume jaha jarurat hoti hai waha par humko blod , itlalic , underline ka use karana hai jisse user humari post ko easily understand kar sake.



9. Internal aur External Links:
Internal aur external links bhi seo ranking ke liye bahat important hoti hai.
Internal Links:
Agar hum apni hi post me apne blog ki kisi dusari post ka link de dete hai to use internal link kaha jata hai. Internal links user ko engage rakhane me madad karati hai. Internal links se humare blog ka bounce rate kum ho jata hai. Aur reader post ko 100% samajane me aasani hoti hai.
External Links:
Agar hum apni site me kisi dusari site ka link de dete hai to use external links kaha jata hai. Agar aap kisi dusari site ke bare me article likh rahe hai to use link ko no follow rakhe.



10. Keywords:
Hume blog post me targeted keywords ka use karna chahiye. Blog ki first-last paragraph aur title me primary keywords ka use karana chahiye. Post me bhi keywords ka use karana hai.
Aap post me jayada keywords na kare keyword density 2%-3% hi honi chahiye yane agar hum 1000 words ka article likhate hai to usme keyword density kum ho jati hai.



11. Meta Search Description:
Blog me search Description bhi jarur add karana hai. Blog ke search description me bhi keywords jarur add kare.

12. No follow, do follow:
Ye bhi ek seo technqiues hai jab hum koi link add karate hai to hume use no follow ya do follow karana padata hai.

No follow aur do follow ko aap is post padhkar easily understand kar sakate hai.

13. Robots.txt ka Sahi Use:
Robots.txt bhi humari site ke indexing me bada role play karati hai. Robots.txt file kya hoti hai use blog me kaise add kare aap yaha read kare.



14. Blog Comments:
Humare blog pe hume spam comment par rok lagani hoti hai. Jise humari site pe se bad site ko backlinks na mile.
Aur jab hum aapne reader ko reply karate hai to relpy me targeted keywords ka use kare.



15. Sitemap:
Apne site ka site map create karke google, yahoo, yandex in search engine me submit kare.
To dosto aaj humane jana ki on page seo techniques kya hai aur isse apne blog ki traffic kaise badaye.
Agar aap in techniques ko follow karate hai to 100 % aapki site ko search engine se traffic milani shuru ho jayegai.

Agar aap ko koi dikkat ya koi suggestion ho to nice comment karke jarur batana.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: