Android Root क्या है ? रूटिंग के Advantages & Disadvantages

Mobile Root kya hota hai? Root kya hai in hindi. Mobile rooting kya hoti hai. Kisi bhi mobile ko root karane ke advantages aur disadvantages ke bare me hum aaj baat karane wale he. Aaj sub log apna mobile root karate par unhe iske bare me puri details nahi hoti to chaliye janate hai.

Mobile Rooting Kya Hai

Rooting Kya Hai?

Root ka Hindi me matlab hai jad (जड़े). Agar hum kisi bhi problem ki jad tak paucha jate hai to hum usse simply solve kar sakate hai. Rooting process ka matalab ye hota hai jab aap mobile ko root karate hai to aap superuser (Admin) ban jate hai android mobile ke. Android me jo software hote hai usko hum apne hisaab se edit kar sakate hai.
Mobile root karane ke baad aapko wo permission mil jati hai jo koi bhi mobile company hume provide nahi karati hai.
Superuser ka matlab hota hai hum Operating system ke program aur software ko edit kar sakate hai.




Advantages of Rooting a Mobile (मोबाइल को Root करने के फायदे):

Agar aap apna mobile root karana chahate hai to aapko iske fayade ke bare me pata hona chahiye.

Custom Theme:
Root karane ke baad aap apne mobile me custom theme install kar sakate hai. Isse aapke mobile ka look professional ho jata hai.

Preinstall App Uninstall Kar Sakate Hai:
Jab hum naya mobile kharidate hai tab usme company ke kuch apps hote hai to hum uninstall nahi kar sakate hail lekin mobile root karane ke baad hum ye application uninstall kar sakate hai.



ROM:
Read Only Memory, Hum isko bhi customize kar sakate hai.

Speed, Battery Life Increase Kar Sakate Hai:
Mobile root karane ke baad hum apne mobile ki speed increase kar sakate hai.
Mobile ki battery bhi icrease karane ke liye aapko kayi application mil jate hai.

Update Operating System:
Jab hum mobile ko root karate hai tab hum mobile me jo operating system ka version hota hai usse latest updates kar sakate hai.




Ads Remove Kar Sakate Hai:
Jab hum internet start karate hai, games start karate tab hume bahut sari ads show hoti hai hum un ads ko remove kar sakate hai.

Disadvantages of rooting Mobile (Mobile रूट करने के नुकसान):

Kisi bhi chiz ke 2 pahalu hote hai 1 accha aur 1 buta to issi prakar mobile root karane ke kafi nuksaan bhi hai.

Warranty:
Jaise aap mobile root karate hai aapko mobile ki warranty khatam hoti hai. Root karane ke bad agar aapka mobile warranty ke under khrab ho jaye to Bhi Company usse repair nahi karegi kyon ke usko aapne root kiya hai. Agar aapko repair karana hai to extra paise dene padenge.




Security:
Mobile root karane ke baad aapka mobile security ke mamle me weak ho jata hai. Aapke mobile me kabhi virus, malware chale aasakate hai.
Agar aap koi unknown application install karate hai to aapka mobile hang ho sakate hai.
Kahi galati se bhi internet se koi virus chala aaye to aapka mobile humesha ke liye band bhi ho sakata hai.

Updates:
Kisi bhi program, software ko manually update karana padata hai.

Rooting Se Related Frequently Asked Question:
1. Mobile root karana legal hai ya illegal?
Mobile ko root karana ye ek illegal process hai.
2. Root Kiye Mobile Ko Phir Se Unroot kiya Ja sakata hai kya?
Kiya ja sakata hai lekin ek baar mobile root kiya jaye to phir usse unroot karane se wo first jaise work karata tha waise work nahi karega.




Last Word:
Mere hisaab se mobile ko root karana ye ek illegal process hai isliye aap mobile ko root na hi kare to accha hai. Lekin agar aap acche programmer, coder hai to aap mobile me alag alag experiment karane ke liye mobile root kar sakate hai.

Aapko ye post kaise lagi hume jarur bataye. Post se related aapke man me agar koi sawal hai to aap wo bhi puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: