Best Screenshot Software Computer/laptop me screenshot lene ke liye. Computer me
screenshot lena chahate hai to iskeliye bahut se badiya screenshot software
available hai. Ye software windows xp, 7,8,10 kisi bhi operating system par
work karate hai.
Agar aap blogger hai, ya kisi prakar ke tutorial banate hai to aapko screenshot lene ke jarurat padati rahati hai.
Agar aap blogger hai, ya kisi prakar ke tutorial banate hai to aapko screenshot lene ke jarurat padati rahati hai.
Kayi baar kya
ho jata hai humari screen par jo window hoti hai uska hume screen shot lene ki
jarurat padati hai. Lekin hume pata nahi hota hai ki screenshot kaise liya jata
hai. To is post me mai aapko badiya screenshot software ke bare me batana ja
raha hu jiski help se aap screen shot le sakate hai.
Blogger ko to
daily screen shot lene ke jarurat padati rahati hai aur apne reader ko details me
explain karane ke liye image ko edit bhi karana padata hai.
Top Screen Shot Software’s:
1. Computer & Paint Ke Help Se:
Aap Microsoft
ki koun si bhi operating system use karate hai usme aapko paint program inbuilt
milata hai. Paint program ke jariye bhi hum screen shot le sakate hai.
Screen shot
lene ke liye Keyboard se Crtl+ PtrScr (Print
Screen SysRq) ko ek sath press karana hai.
Ab start menu
me jakar paint program start kare aur keyboard se Ctrl+ V (Paste Kare) press kare.
Paint program
me aap image ko crop kar sakate hai. Phir alag alag shapes ke help se arrow bhi
le sakate hai.
Image ko kisi
bhi format me .jpeg, .png, .gif, .TIFF etc save kar sakate hai.
2. Photoshop Ki Help Se:
Adobe Photoshop
is program ko to hum sab janate hai iski help se hum image ko jase chahe waise
edit kar sakate hai.
Screen shot ke
liye Keyboard se Crtl+ PtrScr ko ek
sath press karana hai.
Photoshop open
kare file -> new aur ek new
document insert kare. Ab keyboard se Ctrl
+ V (paste) key ek sath press kar de.
Ab apne hisaab
se crop tool ki help se image ko
crop kare. Text tool ke help se text
type kare.
Photoshop me aur ek sabse badiya
feature hai ki aap image ki quality ko barkarar rakate hue image ka size kum
kar sakate hai. Kyon blogger ko images compress karani hoti hai bina uski
quality gawaye bina.
Image ko save
karate time File -> Save For Web
-> Ab right corner me image ki
size aur quality (low, medium, high) select kare aur image ko save kar de.
3. Green shot Software:
Feature:
Free hai.
Use karane me
ekdum aasan.
Arrow ka use
kar sakate hai.
Number counter
diye gaye hai.
Text type kar
sakate hai.
Kisi bhi text
ko hide kar sakate hai. (Image me Kuch important text hota hai to hum apne
reader ko nahi dikana chahate wo aap hide kar sakate hai.)
Image me kahi
bhi aap highlight kar sakate hai.
Kisi bhi format
me image save kar sakate hai.
Ye sabse badiya
aur free software hai. Jiska use khud mai blogging ke liye karata hu. Aap green
shot software ko yaha se download kare. Apne pc me install karle.
Screen shot
lene ke liye wahi short cut key hai Ctrl+PrtScr
ab right corner me jaha par aapka notification dikhayi deta hai waha par open
with greenshot select kare. Screenshot greenshot software me open ho jayega. Ab
aap jaise chahe use edit kar sakate hai.
4. 7 Caputre:
Is software ki download link. Ye
software kisi bhi windows operating system (windows XP, 7, 8, 10) par aap
install kar sakate hai.
Free hai iski
size sirf 1.39 Mb hai. Kisi bhi software par personal ya commercial use ke liye
install kar sakate hai.
Screen shot
lene ke liye Ctr+ PrtScr key press karani hai.
5. Tiny Take Software:
Screen capture
and video recording bhi ek sath kar sakate hai.
Free hai, Text
tool, Shapes, arrow inka use kar sakate hai jo inbuilt diye gaye hai. Aap ye screenshot
friends ke sath online share kar sakate hai.
To ye kuch free
best screen capture software hai. Other blogger iske alawa Sangit
software use karate hai. Par sangit software free nahi hai iska aapko 15 days
ka free trail milata hai. Agar aapko ye life time use karana hai to iske liye
aapko paise dene padate hai.
Aapko ye post
kaisi lagi comment me jarur bataye. Aur iske alawa agar aap koi aur screeshot
software use karate hai to wo bhi comment me jarur bataye.
Bhai Jio 4G Sim direct home delivery order karne ka link do. Jio sim order karna hai mujhe.
ReplyDelete@Mohibur,
DeleteJio Sim Ghar Par Order Kaise kare, iske bare me post nahi likhi hai, aap google search karle.