Computer Software Kaise Banaye, Software kaise banate hai ? Software kaise banaye ? Software banane ka tarika hindi me yaha par aapko read karane ko milega. Jab hum computer ka use karate hum tab hume bahut sare software ki jarurat padati hai, tabhi humare dimag me dher sare sawal aate hi, ki aakhir software kaise banata hai, game banane ka tarika kya hai, how to make software, application kaise banaye. Yese kayi aur bhi sawal hai, to in sawalo ke jawab aaj apako is post me mil jayenge.
Software kaise banata hai, iski Jankari jyada
tar BCA, MCA, Computer Science karane wale technical logo ko hoti hai.
Software Kaise Banate Hai:
Software Kya Hota Hai?
Sabse pahale hume ye janana hoga ki
aakhir software kya hota hai.
“Software is nothing but collection of
programs and lines of codes, which is used to perform a specific task.”
Software yane coding hoti hai, jisme
100-100000 lines tak ka code ho sakta hai, wo software par depend karata hai.
Software kisi khas maksad yak am ko pura karane ke liye banaya jata hai.
Software alag alag platform ke liye hota
hai, yane android mobile ke liye alag, windows, MAC, IOS, UNIX ke liye
alag.
Software Banane Ke liye Most Important Chiz:
Agar aap software banana chahte hai, to
uske liye aapko koi na koi programming language sikhani hogi. Jaise C, C++,
VB.NET, ASP.NET, JAVA, etc.
Mai aapko short me programming language ke
bare me bata deta hu. Lekin agar aapko software banana hai to aapko in language
ko deeply me sikhane hoga.
C language ye ek procedure oriented programming
language hai, jiska prayog windows, UNIX, Linux jaise operating system banane
ke liye kiya jata hai.
C language ke bare me aur janakari ke
liye humara C language ka hindi tutorial yaha se read kare.
C++ :
C++ ye ek object oriented programming language
hai. Jisse hum kayi tarah ki programs, computer games, operating system bana
sakate hai.
JAVA:
Java bhi ek object oriented programming language
hai, jiski help se hum bahut sare program create kar skate hai, khas taur par
java ka prayog game banane ke liye hota hai.
VB.NET:
Agar aap koi bhi computer ka software
banane ke bare me soch rahe hai to aapko VB.net sikhana padega. Ye ek yesa platform
hai jaha se hum windows ke liye software bana sakate hai.
Isse sikhane ke liye aapko visual studio
name ka software install karana hota hai, jo ki Microsoft ka hi hai.
Web Designing/ Development:
Agar aapko web designing me interest hai
to aapko PHP, HTML, CSS, Java Script, ye languages sikhani hogi.
Software Banane Se Humara Kya Fayada Hoga:
Ab aap soch rahe honge ki software banane
se humara kya fayada hoga to mai ye bhi aapko bata deta hu.
Isko understand karane ke liye mai aapko
ek example de raha hu.
Hum apne computer me antivirus software
ka use karate hai. Jisme se 80% se Jayda log paid (paise dekar kharidana ) antivirus
ka use karate hai.
Example:
Net Protector Anti-Virus Pro 2016 - 1 PC,
1 Year -Price: 600
Quick Heal Anti-Virus Pro 1 PC, 1 YEAR
(CD) - Price: 999
To kuch antivirus software hai jo Jayda taur par india me use kiye jate hai. ab aap sochiye ki ek antivirus software ki kimat lagbhag 500-1000 rupay hai.
To pure india me kitane log iska istamal
katate honge aur in companies ki kamayi kitni hogi.
Lekin is tarah ke software banana kisi 1
insaan ke bus ki baat nahi hai. uske bare me niche bataya hai.
Software Banane Ke liye Kitane Logo Ke jarurat Hogi:
Waise agar aapko coding aati hai, aap
programming me talented hai to phir aap small software akele hi bana sakate
hai.
For example:
Notepad, Calculator, small games, kisi
company ke liye management ka software, college ke liye library management ka
software etc.
Lekin agar aap software banakar acche
paise kamane ke bare me soch rahe hai to phir aapko programmer’s ki team banana
hogi.
Team me her ek member ka alag alag role
hota hai, jaise koi code development ka kam karata hai , to koi front end
pe software ke design ke dekhata hai.
Software database manage karane ke
liye alag team member kam karata hai.
Software fully create karane ke baad usse
test karane ke liye software testing ki alag hi team hoti hai. jispar
testing ki alag alga method ka apply kiya jata hai, aur usko validate
kiya jata hai.
Team me her ek member ka apna apna alag
role hota hai.
To is process ke through ek software banata hai, aur us software ke jariye hum paise kama sakate hai.
To ab aapko puri tarah se samaj aaya hoga
ki aakhir me software kaise banata hai.
Aur agar ab bhi aapke man me koi sawal
hai to aap comment me jarur puch sakate hai.
Computer, Internet, Blogging, Make Money
Se realted kisi bhi problem ke liye humara facebook group jarur join kare.
Dear Sir,
ReplyDeleteHow to make a software? please tell me .
@ Preeti soni,
DeleteTo make software we want to learn java, C, C++, VB.NET such programming languages.
Sir Mobile Par Web Site Ka Aap Banane Ke Liye Kya Kare Plz Bataye
ReplyDelete@ Pramod ji,
DeleteFree me banana hai to aap appsgear ka use kar sakate hai uske liye ye post read kare.
thank you sir asi jankari dene ke liye sir mujhe computer bhot hi acha lagta h isme software game video cartoon making etc ye sabhi sihkna h so you help me now sir
ReplyDeleteSir windows base software banana liye vb ke alawa aur koan Sa programing language use kar skate hai
ReplyDelete@Sajay,
DeleteWindows Application, software create karane ke liye VB.net, VB.6, c, C++ in programming language ka use hota hai.
C, C++, JAVA, VB.NET, etc language kaise or kaha sikhe
ReplyDelete@Dipak,
ReplyDeleteIske liye aap ye post read kare Best Notes & Tutorial sites.
kya aap muje wo India mai wo company bata sakta hai jinhe software engineer ki jarurat hai, Aur wo kud software build karti ho.
ReplyDelete@ Ha agar aapko programming language ki samaj hai to TCS, Wipro in jaise company ke me ja sakate hai.
DeleteMobile root karne proses bataiye na
ReplyDeleteMera Mobile Micromax canvas q416 hai
@Vahendra,
DeleteMobile Root Kaise Kare
Sir mujhe web design seekhana hai but mere pass Paise nahi hai keya koi online class hai
ReplyDelete@Vijay,
DeleteJi ha Youtube.com, tutorialpoints, w3schools par free me sikh sakate hai.
ReplyDeleteThank you For Sharing This Information…
And also give to me important knowledge.
Sir free main kohibhi language course kar sak te hain keya.
ReplyDelete@Ji ha, Youtube se free me kar sakate hai.
Deletesir mainne toa visual basic course kiya hain tao mainne bhi ak softwere banaya houa hain to keyse es softwere ko install kare .this softwere name is calculator
ReplyDelete@ji install kar sakate hai.
Delete