Jab hum new blogging start karate
hum tab har koi apne blog ko dusare ke blog se behatar banane ki koshih karata
hai. Lekin har koi isme safal hota hai hi, yesa nahi yesa karate samay new
blogger kuch common mistakes karate hai, jinko hume avoid karana hota hai.
Blogging me hume har din kuch na
kuch naya sikhane ke milata hai, to wahi kayi sari mistakes bhi hoti hai, lekin
hume un mistakes ko recover karate hue aage badana hota hai.
Blogging Common Mistakes:
Mistake 1: Quality Pe Focus Kare
Na Ki Quantity Pe:
Jo new blogger hote hai, unko yesa
lagata hai, ki hum jitne Jayda post dalenge unti Jayda traffic unko blog ko mil
jayegi. Lekin yahi unki sabse badi mistake hai, ko wo quantity ko jyada importance
dete hai, na ki quality ko.
Blogging me Quantity ko itna importance
nahi hai yesa nahi lekin uske sath aapke article ki quality bhi acchi honi
jaruri hai. Jisse aapko search engine se organic traffic mile.
New blogger traffic ke liye post
par post publish karate rahate hai, lekin quality ki aur dyan nahi dete.
10-12 post likhane ke bajay 1-2
good quality post likhani hi behatar hai.
Mistake 2: Blogging Me Patience
Hona Jaruri Hai:
New blogger jo second Mistake
karate hai, wo patience nahi rakhate hai.
Har ek blogger ki yahi tammana
hoti hai ko blog banakar usse paise Kamaye jaye. Aur iske chakkar me wo black
hat seo jaise technique ka use karate hai, lekin yahi wo galati kar baithe hai.
Blogger ek yesi field hai, jisme success hone ke liye long time lagata hai,
isliye patience most important factor hai.
Mistake 3: Kharab Blog Design:
Blogging me sabse important factor
blog design bhi hota hai. New blogger behat acche aur kayi sare unique post
blog par dalate hai, lekin phir bhi unko traffic nahi milati uska main reason
hota hai, blog ka unattractive design.
Blog ko professional look dena
behat hi important hai, Kyon ki visitor acche blog design par bar bar jana
pasand karate hai.
Blog Ko Professional Look Kaise
De:
1. Responsive aur good looking
template ka use kare.
2. Social share buttons, about
author box, Subscribe widget, Alexa rank ye widget add kare.
3. Popular Post, Categories widget
ko add kare.
4. Blog color, font size acchi
chune jise visitor tik se read kar sake. Kisi dark color ka use na kare.
5. Blog ke loading time ko reduce
kare.
Mistake 4: Only Social Traffic Not
Organic Traffic:
New blogger ki ye ek badi mistake
hoti hai, wo samajate hai, ki facebook, twitter, whatsapp in jaisi social
networking site se kafi traffic mil sakati hai.
Isliye wo apne blog ko sirf social
networking site par hi promote karane par lage rahate hai.
Lekin wo yahi galati karate hai,
wo blog SEO par dyan nahi dete hai, khas taur par new blogger agar aapko Search
engine se organic traffic chahiye hai, to SEO par jarur dyan dena chahhiye.
Mistake 5 : Not Promoting Post:
Dusari aur new blogger unqiue post likhate
hai, lekin wo apni post ko promot nahi karate. Lekin hume dono taraf dyan dena
hota hai, ek to blog ki marketing karani hoti hai, quality content likhane hote
hai.
Blog post likhane ke bad usko social
networking site pe jarur share karani chahiye.
Last Word:
To ye kuch blogging mistakes hai
jo maine upar batayi hai, iske alawa bhi humse bahut sari mistakes hoti rahate
hai, lekin hume unko sudhakar aage improvement karani padati hai.
Blog Ko Search Engine Se Organic Traffic Lange Ke Liye :
1. SEO Ko Follow Kare
2. Keywords ka use kare.
3. Blog ko professional design
kare.
4. Unique and High quality content
post kare.
5. Other blogger, reader ke sath
relationship banaye.
Iske alawa aapke pass bhi koi
suggestion ho to aap comment me bata sakate hai.
0 Comments: