Hum kisi website, blog ko visit
karate hai, tab hume wo behat pasand aata hai, ya humare kam ka hota hai, tab
hum usse save karane ke bare me sochate hai, to is post me hum janenge ki kisi
bhi webpage ko as a pdf kaise save kiya jata hai.
Hum kisi bh webpage ko pdf
format me save kar sakate hai, chahe wo notes ho humare kam ki kuch articles.
Iski jarurat student ko khas taur
par padati hai, unke jo online notes hote hai, unko hum webpage ke jariye pdf
format me save kar sakate hai.
Webpage Ko PDF Format ME Kaise Save Kare:
Step 1:
Aapko jo webpage save karana hai,
uska address google chrome me dale aur enter kar de.
Step 2:
Website open hone ke bad Ctrl+P
press kare.
Step 3:
Ab humare samane print ki window
open hogi. Umse right side me destination ka option hoga uske niche change
pe click kare.
Step 4:
Change pe click karane ke bad waha
se Save as PDF select kare. Aur save pe click kar de. Ab aapko jis location pe
page save karana hai waha pe save kar de.
Agar aap chaho to Page ka layout- Portrait,
Landscape
Margin- default, none, custom etc.
Paper size- A1, A2, A3, A4, A5,
Letter in size me bhi change kar sakate hai.
To is parkar hum kisi bhi blog
post, ya website ko pdf format me save kar sakate hai.
Computer Se Related Humari Dusari
Post :
0 Comments: