Photoshop sabse popular image
editing software hai, Photoshop me kisi bhi image ka background kaise change
kiya jata hai, janate hai.
Photoshop me kisi bhi image ka background
change karana behat hi assan kaam hai, bus iske liye aapko photoshop ka basic knowledge
hona jaruri hai.
Agar aapko Photoshop ka koi bhi
knowledge nahi hai to aap sirf niche di gayi step ko follow kare.
Hum yaha par adobe phtoshop 7 ka
use kar rahe hai, lekin jo steps hai, wo sabhi photoshop ke version me yahi
hogi chahe aap CS3, CS4 use kar rahe ho.
Photoshop Me Image Ka Background Kaise Change Kare
Hume yaha par magnetic lasso
tool ka istamal karana hai. Magnetic lasso tool kyon use hota hai ye mai pahale
hum janate hai.
Magnetic Lasso Tool:
Is tool ka istmal image ko select
karane ke liye hota hai. Ye magnet ki tarah work karata hai, yane jaha jaha par
same color hai ye tool usko automatic select karata hai.
Step 1:
Sabse pahale aapko jis photo ka
background change karana hai, usko Photoshop me open kare.
Step 2:
Ab tool menu me se magnetic lasso
tool ko select kare.
Step 3:
Magnetic lasso tool ki help se
image ko select karle jiska background change karana hai.
Step 4:
Ab image ko jaha se select karana
shuru kiya tha wahi par end karana hai, to puri image select ho jayegi.
Step 5:
Ab upar menu option me se select
pe click kare. Aur waha se Inverse pe click kare. Isse image ko chodkar
uska background select ho jayega.
Step 6:
Paint bucket tool select
kare phir aap jo color background me dena chahate hai wo select kare.
Aur image ke background me jakar
fill karde.
Image select karate waqt jo jayada
parts aaya hai, usko is color se remove kar de taki image ki quality aur better
ho sakte usme clearity aa sake.
To is tarah simple steps ko follow
karake hum kisi bhi image ka background change kar sakate hai.
Agar aap chahe to step 6 me jo paint
bucket tool ke bajay gradient tool se bhi color ko fill kar sakate
hai.
To ab aapko acche se samaj gaye
honge ki kisi image ka background adobe Photoshop me kaise change kiya jata
hai.
Agar aapko isme koi problem ho to
aap niche comment me puch sakate hai.
Photoshop se related humari aur
bhi post aap read kar sakate hai.
बढ़िया जानकारी दी है आपने सर. मैं आपके ब्लॉग पर आना पसंद करती हूँ.
ReplyDelete@ धन्यवाद रूपा जी आपके फीडबैक के लिए :)
Delete