Hello, Dosto aaj mai aapke sath ek bahut hi badiya tip share karane wala hu ki kaise hum delete huye apne data, documents ko phir se recover kar sakate hai.
Aap to janate hi hai ki aapke
mobile ya phir pc, laptop me jo data hota hai wo aapke liye kitana important
hota hai. Kabhi-Kabhi kya ho jata hai accidently hum se data delete ho jata hai
agar hum pc use kar rahe hai aur data delete ho jaye to koi problem nahi hum
recycle bin se use vapis la sakate hai. Magar aap ka data mobile ya phir pen
drive se deleted ho jaye ya format ho jaye to aap kya karenge?
To chaliye mai aaj aapko kuch
yese software ke bare me bataunga ki unki madad se aap deleted, formatted ya phir
crashed data ko kaise recover kar sakate hai.
1. 7 Data Recovery
7
Data Recovery 1 badiya recovery software hai jiski madad se hum apna data
reover kar sakate hai.
Iski madad se hum Audio (mp3),
video (mp4, 3gp, mkv, avi etc), jpeg, png, apne sabhi documents (.docx, .pdf,
.xls) ye sabhi recover kar sakate hai.
Iski madad se aap aapke pen
drive, memory card, ya hard disk in sabhi ka data wapis pa sakate hai.
Lekin iska jo free version
hai uske keval aap 1gb tak hi recover kar sakate hai agar aapko use jyada
recover karna hai to aapko ise kharidana padega.
Aapko ise download karne ke
liye sirf google me search karna hai. Aur aapke pc me install karana hai. Ye
windows 10,7, 8, 8.1 ke liye available hai.
Android Mobile Ka Data Kaise Recover Kare 7 Data Recovery ki madad se.
1. Install
Aapne 7 data recovery install
kar liye uske bad apko apna mobile pc se connect karna hoga usb cable ki madad
se.
2. Scan
Phir 7 data recovery software
me jaye waha se aapko option dikhayi dega android recovery uspar click kar de
wo aapke mobile ko scan kar dega aur jo data delete hua hai use dikhayega.
3. Recover
Phir aapko jo data chahiye use select karne
recover pe click karana hai.
Also Read:
2. Ease Us Data Recovery Wizard :
Ye
mera favourite software mai yahi use karata hu agar mujhe koi data recover
karan hai to. Ye software 12 years se market mai hai ise aap andaza laga sakate
hai ki ye kitana popular hai.
Isme
aapko pc ke liye alag aur Android mobile ke liye alag software download karana
padata hai.
EaseUs
ki madad se aap sabhi tarah ki files recover kar sakate hai jaise ki audio,
video, document, etc.
Iske
free version se aap 2 GB tak ka data wapis pa sakate hai. Agar aapko unlimited
data recover kar sakate hai.
Windows
10, 8, 7, Xp aur vista in sabhi operating system ke liye available hai. Isme
aapko dono version (32 bit, 64 bit ) available hai. Aur to Aur ye MAC operating
system ke liye bhi available hai.
Android
Mobile Ke liye Kaise Use Kare:
EaseUS-MobiSaver
for Android Free www.easeus.com
Is
link pe jake download kar le. Iski madad se aap apne contact, sms, photos,
video recover kar sakate hai.
1. Download
karke ise apne pc me install kar le.
2. Aapna
mobile pc se connect kar le aur waha yane software se scan kar le files.
3. Jo
files chahiye use select karke recover kar le.
3. WinMend Data Recovery
Ye bhi 1 badiya software hai
jis se aap quick scan, full scan karake apne lost data ko recover kar sakate
hai. Ye sirf pc ke liye avalibel hai. Iska bhi free aur paid version hai.
4. Recuva- File
recovery
Recuva ye another file
recover karane ka aasan tarike ka software hai. Iski khasiyat ye hai ki ise piriform
team ne banaya hai. Agar aapko pata nahi ki piriform kya hai to mai aapko
batata hu piriform ka bahut sare software hai aur unka sabse popular software
hai ‘C Cleaner ‘. C cleaner apki temperory files, cookies, ko delete kar deta
hai.
5. Pandora
Recovery
Ye bhi ek badiya sa recovery
software hai jiski madad se aap lost files ko recover kar sakate hai. Apko kya
karana hai google me Pandora recovery free download karke search karana hai.
Aur us software ko download karke install karana hai.
Maine aapko 5 badiya data
recovery software isliye bataye hai free version me aap 1-2 GB tak hi data
recover kar sakate hai. Agar aapko jyada data recover karna hai to aap ek ek
karke in software ko install kar le aur apni need ke anusar data recover kar
le.
Aasha karata hu ki aapko ye
post acchi lagi hogi aur ye aapke kam ki hogi. Agar aapko bhi acchi lagi ho to
social media par apne dosto ke sath share karana na bhule.
Aur agar koi problem ho to
comment karana na bhule.
Bahut badhiya jankari share ki hai aap ne.
ReplyDeleteKeep it up bro.