Internet Banking in Hindi, इन्टरनेट बैंकिंग, Net banking Kaise Kare. Net banking Ki Jankari. Agar aapko internet banking jise
net banking, online banking se bhi jana jata hai. Iske bare me pata nahi hai,
to is post me aapko net banking kya hoti hai, iski details me Jankari mil
jayegi.
Internet Banking/ Online Banking:
Kuch saal pahale hume agar paise
nikalane the, kisi ko bejane the, ya phir withdraw karane the to bank me jana
padata tha. Ghanto tak line me wait karana phir form fill karake bank me jama
karana is tarah ke chaakaro me humare 2-4 hours chelate jate the.
Lekin aajkal sabhi bank se pragati
kar li hai, aur wo apne customer ko acchi se acchi suvidha dene me lagi hai.
Usme se hi ek service hai internet
banking.
Internet banking yane hum ghar par
ya office me baitkar internet ki help se kisi ko bhi paise transfer kar sakate
hai. Online bill pay kar sakate hai, online shopping kar sakate hai, iske liye
hume bank jane ki jarurat nahi.
Internet banking ka use karane ki
liye apni apni banks ki official website aur mobile application available hai.
Net Banking Kaise Activate Kare:
Agar aap internet banking ka
istamal karana chahte hai, to isliye liye hume pahale internet banking ke liye
registration karana padata hai. Aapka jis bank me account hai, us bank me jakar
aap internet banking activate kar sakate hai.
Tab bank hume apna User name
Aur Password deti hai, jiski help se hum interent banking use kar sakate
hai.
Also Read:
Internet Banking Se Kya –Kya Kar Sakate Hai:
1. Pay Bills:
Internet banking ki help se hum
ghar baite bill pay kar sakate hai. Jaise electricity ka bill, Phone
Bill etc.
2. Money Transfer:
Agar aap kisi ko paise transfer
karana chahte hai, to iske liye aapko bank me jane ki koi jarurat nahi hai, aap
internet Banking se paise transfer kar sakate hai.
3. Book Tickets:
Aap movie ticket, railway ticket, airline
tickets ko online book kar sakate hai, aur iski payment internet banking se kar
sakate hai.
4. Online Shopping:
Aaj kal traditional shopping ka
jamana raha nahi, har koi online shopping kar raha hai, jiski payment hum
internet banking se karate hai.
5. Check balance, statement:
Hum humare account ka balance
check kar sakte hai, sath hi statement bhi download kar sakate hai.
Also Read:
6. Make Fixed Deposit:
Agar aap FD karawana chahate hai,
to ye bhi online kar sakate hai.
7. Apply For ATM / Change Pin:
Agar aapke pass ATM card nahi hai,
to aap internet banking se hi ATM ke liye apply kar sakate hai.
Also Read:
ATM chori hone par, kho jane par
usko online block bhi kar sakate hai. Sath me pin bhi change kar sakate hai.
Also Read:
Internet Banking Use Kar
Samay in Security Tips ko Kare Follow:
Agar aap ne abhi abhi internet
banking use karani shuri ki hai, to security ke liye hume kuch tips ko follow
karana padata hai, taki humara account safe aur secure rahe.
Ab aap samaj gaye hone ki Internet
banking kya hai. Mere experience se SBI Internet Banking sabse best hai, kyon
ki ye bahut hi secure aur best customer service provide karati hai.
Internet Banking se judi kisi bhi
problem ko aap comment me bata sakate hai.
0 Comments: