Project Kya Hota Hai, Kaise Banaya Jata Hai


What is project? What is frontend and backend ye sab term kya hoti hai, is post me janenge. Project Kaise banaya jata hai, iska format kis tarah ka hota hai.

What is Project?

Apne college jivan me, office me ya phir aap developer hai to aapko project ye word kayi bar sunane me milata hoga.
Aakhir project kya hota hai, project me kitne member work karate hai, isme front end, back end kya hota hai.

What Is Project?

Project yane ek process hai, jise paln kiya jata hai kisi task, aim ko pura karane ke liye.
Project koi ek vakti ya team member ko milakar kiya jata hai. Wo project par depend hota hai.
Project me sabhi terms ko examine kiya jata hai jaise, cost, time, events, team member.
College me school me hume project banane ko kaha jata hai, wo hum team me ya phir akele bhi bana lete hai.


Wahi dusari aur kisi company, development company me project me kayi sare log work karate hai, jisme har ek ka apna apna alag alag role hota hai.
To hum aaj janate hai, ki Information technology (IT Field), Computer Science me kis tarah ke project hote hai, aur koi si main terms inme use ki jati hai.

Information technology (IT Field), Computer Science Project:

Is field me project ke taur par hum website bana sakate hai, software bana sakate hai, mobile ka application ban sakate hai.
Is tarah ke project banane ke liye hume programming language jaise html, css, php, java script, C , C++ programming, .NET is tarah ke programming languages sikhani hoti hai.
Project Example In IT/ CS:
Online shopping website in PHP
Library management system
Hotel management system

Frontend & Backend Kya Hota Hai:

Kayi baar kayi sare log hote hai, unko front end aur backend ke bare me pata nahi hota hai, ye 2 most important factor hai.

Front End:
Front end yane jo actual user ko dikhayi deta hai, isko hum GUI (graphical user interface) bhi kah sakate hai. Isme client project, software ke interact karata hai.
Project ke front end sabhi ke liye visible hota hai.

Back End:
Back end wo part hota hai, jisme all processing hoti hai, lekin client isse dekh nahi sakata hai. Back end ko sirf administrator ye phir jisko rights hai wahi dekh sakata hai.
Back end ye client ke liye visible nahi hota hai. Example: Databases and their operation
Front end aur back end ke bare me tik se Janae ke liye niche diye hue example ko read kare aapko isme ka fark samaj aayega.

Example 1:
Jab hum kisi hotel, restaurant me jate hai, tab jo table, decoration, waiter, menu hota hai, usse hum front end kah sakate hai. To wahi jaha kitchen me actual khana banaya jata hai, usko hum back end kah sakate hai.

Example 2:
Hum sab log facebook ka use apni daily life me karate hai. Facebook open karate hi jo page humare samane aata hai, usko hum front end kahate hai, to wahi jab hum apna user name, aur password dalate hai, tab background me jo process hoti hai, (facebook server check karata hai, ki uske database me wahi user name aur password maujud hai ya nahi )usko backend kaha jata hai.

To ab aap samaj gaye honge ki actual me project kya hota hai, aur usme use hone wali terms front end aur backend kya hoti hai.


Humare latest updates ke liye subscribe jarur kare. Aur humara facebook page like karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

9 comments:

  1. Very Usefull information .......

    ReplyDelete
  2. Thank you sir isse pehle me bohot confused thi BT pdne k bad mera confusion dur ho gya project ko lake thanks again

    ReplyDelete
  3. sir mai website project bnana chshta hu knha se start kru project

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Sunil,
      Aapke kis language me banana chahate hai wo deside kijiye, 1-2 sample project download kariye aur phir usko dekh kar apna project start kijiye.

      Delete
  4. sir m bhi ek website bnana chahta hu kese bnau

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Rohit,
      Free me banani hai to blogger.com ya phir wordpress.com subdomain ke sath bana sakate hai.

      Delete
  5. @konsa project hai aapka

    ReplyDelete
  6. Sir Kay project me basic pogarming ke jarurat pahei he Kay or ya free Jo project free me available he ussi
    Ko exchange Kar ke dekhe sir

    ReplyDelete