Windows 7 Pe Welcome Screen Pe Hum
Message Kaise Likh sakate hai, iski trick aaj mai aapko batane ja raha hu.
Aapne kahi par dosoto ke computer
me, Windows 7 start karane ke bad kuch message dekha hoga.
Windows 7 me yesi facility hai,
jise hum welcome message likh sakate hai, jo hume computer start karane ke bad
show hoga. Jo log on screen hoti hai, usse pahale ye message hume dikhayi dega.
Is message hum kuch bhi jaise
welcome message, apna khud ka name, warning message kuch bhi dal sakate hai,
iske liye hume sirf windows 7 ki registry setting ke change karana padata hai.
To chaliye dekhate hai, ki kaise
welcome message add kiya jata hai.
Windows 7 Me Welcome Message Kaise Add Kare:
Step 1:
Sabse pahale start button pe click
kare. Phir Search box me regedit likhakar enter press kare.
Step 2:
Ab Aapke samane registry editor ki
window khul jayegi jise aapko niche diye gaye path ko follow karana hai.
Note: Registry value sahi se edit
kijiye nahi to operating system me problem ho sakati hai.
HKEY_lOCAL_MACHINE\Software\Microsoft\Windows\CurrentVersion\Policies\System
Is path ko aapko follow karana
hai, to aapke samane niche ki tarah ek window open ho jayegi.
Step 3:
Ab legalnoticesection pe double
click kare. Aur text box me aapko jo message ko title chahiye wo Title box dale
de.
Example: Welcome Umesh
Step 4:
Ab phir niche legalnoticetext
pe double click kare. Aur Aapka message value data field me dal de.
Example:
Have a Nice Day……….
Ab ok pe click karde. Apne computer ko ek baar restart karde.
Computer start hone ke bad ab aapko wahi message show hoga jo aapne upar dala
hua tha.
To is prakar hum windows 7 me
registry ko edit karake hume jo message show karana hai, wo show kar sakate
hai.
To apako ye trick kaisi lagi comment
me jarur bataye. Aur agar aapko ye trick pasand aayi ho to apne friend ke sath facebook
pe jarur share kare.
Humare Latest updates pane ke liye
subscribe kare aur humara Facebook page like kare.
Also Read:
Computer Aur Internet Se Jude Technical Word
0 Comments: