Bahut se Log internet ka istmaal
karane ke liye google chrome browser ka use karate hai. Google chrome me
homepage kaise set kiya jata hai aaj hum janate hai.
Google chrome browser me agar aap
homepage set karana chahate hai to is post ko follow kare aur aapko jo homepage
chahiye wo select kare.
Homepage Kya Hota Hai:
Agar aapko homepage kya hota hai
ye pata nahi hai to chaliye janate hai, homepage yane hum jab bhi browser open
karate hai tab humare samane jo page hota hai usko homepage kaha jata hai.
Hum jo chahe wo homepage select
kar sakate hai, lekin search engine ko homepage select karane se humko hi help
hoti hai.
Google Chrome Me Search Engine Ko Homepage Kaise Set Kare:
Step 1:
Sabse pahale google chrome browser
ko open karo.
Step 2:
Ab google chrome browser me right
corner me jo three dots hai uspar click kare.
Step 3:
Ab aapke samane behat se option
honge usme setting pe click kare.
Step 4:
Humare samane google chrome ki
setting open ho jayengi usme hume search ka option show hoga.
Step 5:
Search option me
jo drop down menu hai uspe click kare aur aapko jo chahiye wo homepage set
kare.
Agar drop down menu me search
engine ka name nahi hai to aage jo option hai manage search engines…. Pe
click kare.
Ab hume jo homepage set karana hai
uska url (address) dale. Ab aapne jo url dala hai wo aapko drop down list me
show hoga usko select karle.
To is tarah simple steps ko follow
karake hum google chrome browser me kisi bhi webpage ko homepage set kar sakate
hai.
Agar iske bare me aapko koi dikkat
ho to aap comment me hume jarur bataye.
Also Read:
Firfox me bhi batatye.
ReplyDelete@ Kamlesh,
DeleteFirefox ke bare me jald hi post karunga.