Internet par, Facebook par har din
hume promo code, cashback, refer and earn jaise concept hume daily sunane ko
milate hai. Lekin kayi logo ko iske bare me pata nahi hoga hai, isliye aaj hum
details me janate hai ki ye concept kya hoti hai, inka use kaha pe kiya jata
hai.
Promo Code Kya Hota Hai:
Isko promotional code kaha jata
hai. Koi company, brand apne business ko promote karane ke liye apne product
par discount deta hai. Aur ye discount hume is code ko use karane par hi milata
hai.
Promo code alag alag company,
software ke hote hai, unki validity period, discount kitna hai, ye wo company,
software tay karati hai.
Example:
Paytm recharge promo code: isko use
karane par hume recharge par discount mil jata hai.
Cashback Kya Hota Hai:
Cashback aam taur par e-commerce
website par diya jata hai. Cashback yane agar hum kisi website se shopping
karate hai to website hume cashback de deti hai.
Cashback offer isliye di jati hai,
taki website popular ho, customer ko attract karane ke liye.
Cashback offer e-commerce website
tay karati hai, kitane ki shopping par kitana cashback milega wo bhi company
tay karati hai.
Example:
Flipkart, Amazon par agar hum
Rs.5000 ki shopping karate hai to agar waha pe cashback offer chal raha hai to
hume Rs.5000 par Rs.500 ka cashback mil sakata hai.
Or
Agar hum credit, debit card se
payment karate hai to uspar bhi cashback offer diya jata hai.
Coupons Kya Hota Hai:
Coupons promo codes ki tarah hote
hai. Coupons codes ka use karane par hume accha khasa discount mil jata hai.
Example:
Agar godaddy se hum website ke
liye domain purchase kar rahe hai aur waha par hum coupon code use karate hai
to hume us offer par discount mil jata hai.
Refer and Earn Kya Hota
Hai:
Aaj hum Facebook par kafi link
dekhate hai, jisme hume dekhate hai ki likha hota hai, join karane par itna
recharge milega aur har ek friend ko refer karane par uska itna recharge milega.
Refer and earn ka matlab hota hai
ki kisi dost, risterdar ko us application ke bare me batwo usko wo install aur
use karane ko kaho, uske badale me hume earning hogi.
Aaj kal google play store
par jitane bhi apps hum dekahte hai, almost 95% apps refer and earn program par
hi chelate hai. Iska developer ko ye fayada hota hai ki uske apps ki kum paiso
me promotion ho jata hai. Kum samay me jayada logo to apps promote karane ka
isse accha way nahi hai.
Aur user ko bhi iske jariye acchi
khasi kamayi ho jati hai.
Refer and earn program me humari
khud ki unique link hoti hai jo hume apne friends ko share karani hoti hai,
jise join karane par hume earning hoti hai.
Kuch Best Refer and Earn Programs:
To ab aap samaj gaye honge ki
promo code, cashback aur refer and earn program kya hota hai.
bahut achchha post likha hai aapne
ReplyDelete