Hum sab
janate hai, ki JIO ka sim sirf 4G supported phone me chalata hai isliye jinke
pass 4G smartphone nahi hai wo iska use nahi kar pa rahe hai.
Lekin
Reliance ne ispar bhi tod nikal liya hai, ab 2G, 3G user bhi apne smartphone me
reliance jio ka 4G sim use kar payenge. Aur March 2017 tak free voice call,
internet aur sms ka use kar sakenge.
2G, 3G phone
me jio ka sim use karane ke liye hume Reliance ki Jiofi device ka use
karana hoga.
JIOFI Device Kya Hai?
Jiofi 4G portable
device hai. Jiski help se hum voice call, video call, and internet and sms ka
use kar sakate hai. Jiofi 4G portable device hai, jo hotspot jaisa work karata
hai.
Jiofi device
ke jariye hum apna Jio ka 4G sim activate kar sakate hai, aur phir jiofi se
apna 2G, 3G smartphone wifi ke jariye connect karake full 4G speed ka use kar
sakate hai.
Also Read:
Jiofi Device Ka Use Kaise Kare:
1. First hume
jiofi device jio ke website se buy karani hogi jiski kimat Rs.1999 hai.
2. Uske bad hume jio ka sim card buy karana hai, aur usko jisfi device me dalakar activate karana hai.
3. Apne 2G,
3G smartphone me Jio 4G Voice application play store se download karana hai.
4. Jiofi se
hum at a time 32 device yane humara laptop, mobile, tablet, TV etc connect kar
sakate hai. Lekin acchi speed ke liye at a time 10 device hi connect kare.
5. Jiofi
deivce me hume 2600 mAh ki battery milati hai, jo 7-8 hours tak work karegi.
Jiofi device
ko aap niche image me dekh sakate hai.
Jiofi
Device Kaise Buy Kare:
JioFi device hume
Reliance Digital or DxMini Stores pe mil jayegi. Jiski kimat Rs.1999 hai.
Or
Hum jiofi ko
jio ki website se online bhi buy kar sakate hai.
Jiofi buy
karane ke bad hume jio ka 4G sim buy karana hoga aur jaisi aap apna sim jiofi
device me dalate ho, within 1-2 hours me aapka sim activate ho jayega.
Agar aapko jiofi device ke bare me koi Jankari chahiye to aap jio customer care 1800-890-1977 ko call karake bhi puch sakate hai.
To is tarah
hum apne 2G, 3G smartphone me Jio ke 4G sim ka luft utha sakate hai.
Agar aapke
man me koi sawal ho to aap niche comment me humse puch sakate hai.
0 Comments: