Agar aapka
koi business hai, to aapko uske liye visiting card ki jarurat to hogi. Har kisi
ko apne business ko promote karane ke liye visiting card ki jarurat hoti hai,
Ya phir aap
online marketer hai to hume askar logo ko apna mobile number, website ka name
dena padata hai, isliye hum visiting card ka use karate hai.
To aaj hum is
post me janate hai ki visiting card kaise banaya jata hai. Yasa karane
se aapke paise bhi save ho jayenge aur aapko jaisa chahiye waisa visiting card
bhi ban jayega.
Visiting
Card Banaye Ke Liye Requirements:
Waise to
visiting card banane ke liye sabhi log Corel Draw ka use karate hai but
hum yaha pe Corel draw ka use nahi karane wale hai.
Iske liye
aapko sirf jarurat hogi Microsoft office 2013 ki. Agar aapke system me MS-Office
2013 install hai to usme ek program hota hai publisher jise jariye hum
visiting card, birthday card etc. bana sakate hai.
Visiting Card Kaise Banaye:
Step 1:
Sabse first
aapko start menu me se ms-office 2013 me jo publisher software hai usko open
karana hai.
Start – All Programs
– Ms-office 2013- Publisher 2013
Step 2:
Publisher
open karane ke bad hume waha se business card select karana hai.
Aap niche
image me dekh sakate hai.

Step 3:
Uske bad
humare samane business card ki jitani bhi template hai wo dikhayi degi. Usme se
ek template select kare.

Step 4:
Ab humare
samane jo template hai, usme humari information dale jaise apna name, address
etc.

Step 5:
Card ka
background change karane ke liye page design pe click kare. Phir background pe
click kare. Aapko jo background chahiye wo select kare.

Page design se hum text box ki schemes change kar sakate hai, wo aap niche dekh sakate hai.

Step 6:
Ab hume
visiting card ki border change karani hai uske liye Insert pe click kare.
Phir usme hume option show hoga Border & Accents uspar click kare aur aapko jo border acchi lage wo select kare.
Phir usme hume option show hoga Border & Accents uspar click kare aur aapko jo border acchi lage wo select kare.

Step 7:
Aap chaho to
us visiting card me apna logo, image bhi insert kar sakate hai. Uske liye aapko
Insert tab pe click krana hoga uske bad Picture pe click karake. Aapko jo image
insert karani hai usko browse karake select karani hai.
Finally is
tarah humara visiting card taiyaar hai, ab isko save karde. Humara visiting
card kuch niche ki tarah dikhayi dega.

Aapke man me
koi sawal ho to aap hume comment ke jariye puch sakate hai.
Humare latest
updates pane ke liye humara Facebook page like kare aur sath me subscribe kare.
Also Read:
VERY GOOD
ReplyDelete