Dj song banane ke software, apne naam ka dj song kaise banaye. Aaj Dj Song Hume bahut sunanage ko
milate hai, aur bahut si website par Dj song mix kiye gaye hote hai, jisme
mixer ka naam, aur uski details hoti hai.
Agar aapke bhi dj song mixing
sikhani hai to aapko uske liye software ki jarurat hoti hai. Aur ye mixing
software humko purchase karane padate hai, lekin aaj hum yaha pe kuch free aur
best Dj mixing software ke bare me janenge. Jisse aap mixing sikh sakate hai.
Bahut se logo ko Dj song banane ka
shauk hota hai, lekin uske liye koun se software use hote hai ye unko pata nahi
hota isliye khas un logo ke liye ye post banayi gayi hai.
Free DJ mixing Software’s:
1. Virtual Dj:
Virtual Dj ek best aur free dj
mixing software hai, jiski help se hum Songs ko edit, mix aur record kar sakate
hai.
Iska latest version aapko niche di
gayi link se mil jayega. Aur ye windows ke liye available hai.
Iska interface use karane me bahut
hi aasan hai, jisko new user bhi easy se samaj jayega.
Virtual dj ki help se hum live
mixing bhi kar sakate hai.
Download Link: http://www.virtualdj.com/download/index.html
2. FL Studio:
FL Studio bhi best mixing software
hai. Use karane me bahut hi aasan hai.
Windows operating system par install
kar sakate hai. Iska free trial version available hai, jo aap mixing sikhane ke
liye use kar sakate hai.
Aapko FL Studio ka pura course
Youtube par mil jayega jisse aap starting se dj mixing sikh sakate hai.
Aur agar aap business purpose ke
liye iska use karana chahate hai to aapko ye purchase karana padega.
FL Studio ko aap brothesoft.com ya
phir filehippo.com in site se download kar sakate hai.
3. Mixx
Ye ke free aur open source dj
mixing software hai. Learning purpose ke liye isse best software nahi ho
sakata.
Mixx software ko sikhane ke liye
aap mix team ka forum join kar sakate hai.
Download Link: http://www.mixxx.org/download/
4. Ultramixer:
Ultra mixer bhi bahut accha aur
free mixing software hai. Isme hum live video, Visuals, Slideshows, text add
kar sakate hai.
Sath me isme live camera ka bhi
istmaal kar sakate hai.
5. Zulu Dj Software:
Simple Mp3 mixing ke liye sabse
best software hai. Iske liye hum kisi bhi MP3 ki mix kar sakate hai. Ye
software NCH software team dwara banaya gaya hai.
Live mixing bhi kar sakate hai.
All mp3 format ko ko support karata hai.
Extra plugin ka use kar sakate
hai. Loops add kar sakate hai.
Download Link: http://www.nch.com.au/dj/index.html
To ye kuch best aur free Dj mixing
software’s hai, jo aap download karke apne pc me install kar sakate hai aur
free me use kar sakate hai.
Agar aapko Dj mixing sikhani hai
to uske liye aapko Youtube par isse related kafi acche video mil jayenge jaha
se aap mixing sikh sakate hai. Aur app bhi ek acche dj mixer ban sakate hai.
Koi question ho to comment me
jarur puche.
0 Comments: