English Se Hindi Translation Kaise Kare

English to hindi translation kaise kiya jata hai, iske bare hum aaj charcha karne wale hai.

English Se Hindi Translation Kaise Kare

English most important language hai, kyon ki iska istmaal pure world me kiya jata hai. Aur humare jitane bhi official kaam hote hai, wo jayadatar English me hi hote hai.

Isse pahale jab hum kisi English word ka matlab nahi pata hota tha to hum usko dictionary me se dekh lete the. Lekin aaj sabhi ke pass internet maujud hai, to iska istmaal karake hum online English to hindi is tarah ka translation chutikiyo me kar sakate hai.


Agar aap student hai aur aapko kisi English word, ya sentence ka matlab pata nahi hai to aap niche di gayi step ko follow karake usko Hindi me translate kar sakate hai.

English Se Hindi Translation Kaise Kare

Iske liye internet par Google ka Google translator ye tool bahut hi popular hai. Is tool ki khasiyaat ye hai ki aap isme ek sath 5000 words ko translate kar sakate hai. Yani karib karib book ke 10-15 pages ko ek sath translate kar sakate hai.

Step 1:
Sabsse first aapko translate.google.com isko apne browser me open karana hai.

Step 2:
Left side ke box me English Select karana hai aur Rigth side ke box me Hindi Select karana hai.

Select Hindi


Step 3:
Ab aapko jo bhi English word, sentence, paragraph translate karana hai, usko left side ke box me dalana hai.

Apna Text Type Kare


Example:
Hi, I am umesh. I am Writer and Admin at Hindimeearn.com
Ab left side ke box me hume uska hindi me translation dikhayi dega.
Is tarah aapko jitane word, translate karane hai usko Left side ke box me dalana hota hai.


Method 2:
Upar di gayi step hume tab follow karani hai, jab jayada word, sentence translate karane hai.
Lekin agar aapko 1-2 word, ya 1-2 sentence translate karane hote hai tab hum direct google is use karake isko translate kar sakte hai.

Step 1:
Google.com par chale jaye. Waha pe English to Hindi Translator Search kare.

Step 2:
Ab usi ke niche hume 2 box show honge. Usme Left side ke box me aapko jis word ko translate karana hai uska dal de uske samane wale box me aapko uska hindi me translation mil jayega.


Apna Word type kare


To is prakar 2 tariko se hum kisi bhi shabd ko translate kar sakate hai.
Agar aapko English se kisi aur bhasha me translate karana hai to aap google translate ka use karake wo bhi kar sakate hai.


To is tutorial ko read karane ke bad bhi aapke man me koi sawal ho to aap hume comment me puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

1 comment: