WordPress ek bahut accha aur
popular platform hai blogging ke liye. Kafi sare blogger WordPress blog banane
ko hi mostly prefer karate hai. To aaj hum Janate hai ki WordPress par free me
apan khud ka blog ya website kaise banayi jati hai.

WordPress.com se hum free me apna
blog create kar sakate hai, jaise isse pahale dekha ki blogger.com ki help se
kaise hum free blog bana sakate hai, same usi prakar WordPress par bhi free
blog bana sakate hai.
WordPress aur blogger me bahut se difference
hai, blogger par hume limited facility aur option dekhane ko milate hai to wahi
WordPress par unlimited features aur option hume use karane ko milate hai.
Lekin blogger aur WordPress ki
apni apni khud ki vishestaye hai.
WordPress Par Free Blog Kaise Banaye:
Free blog banane ke liye hume sirf
ek email id ki jarurat padati hai. WordPress par hum jo free blog banate hai,
wo sirf learning purpose ke liye hi bana sakate hai. Agar aap us blog se paise
kamana chahate hai to uske liye aapko WordPress.org ka istmaal karana hoga.
Jisme hume domain name aur hosting buy karani padati hai.
Jisme hume domain name aur hosting buy karani padati hai.
Lekin WordPress.com par hum free
me blog bana sakate hai, jiska domain kuch is tarah hota hai yoursistename.WordPresss.com
aur ye bilkul free hota hai.
Aapko uske liye sirf niche di gayi
step ko follow karana hai.
Step 1:
WordPress.com ko apne browser me
open kare. Get Started par click kare.

Step 2:
Ab humara blog kaisa dikhana
chahiye iske liye hume uska layout chunana hai.
Yaha par aap apne hisab se layout
select kar sakate hai, mai yaha pe “A list of my latest post”. Select kar
raha hu.

Step 3:
Next setp me hume template select
karani hai. Template yane humari website ka design hota hai ki humari website,
blog kaise dekhega. Waha par aapko 9 template dikhayi degi usme se aapko jo
pasand ho aap wo chun sakate hai.

Step 4:
Aage ki step me hume humare blog
ka name dalana hota hai. Aap apne hisab se kuch bhi name dal sakate hai. Jaise
apna khud ka name, ya phir computertips etc.
Phir niche di gayi domain list se
hume first wala select karana hai.


Example:
Newwebsite2017.WordPress.com
Step 5:
Ab hume plan select karana hai, maine
upar bataya ki hume free blog banana hai isliye hum plan me free select
karenge.
Free paln me hume 3GB space milata
hai.

Step 6:
Last step ab hume WordPress.com
par humara account create karana hai, jiski help se hum apna blog manage kar
sake.
Your email address: yaha pea
pan email id dale.
Choose a user name: isme
aapko jo user name chahiye wo dale ya by default jo hai wo bhi rakh sakte hai.
Password: Imse apna
password dale.
Create My Account par click karde.

Wow! Aapne WordPress par successfully
apna blog create kar liya hai.
Ab https://WordPress.com/wp-login.php
par chale jaye aur apne account me log in karake apne blog par post dalana
shuru karde.
Just a 5 step me hum WordPress par
free blog bana sakate hai, jo humane upar dekha. Agar iske bare me aapke man me
koi sawal ho to aap comment me puch sakate hai.
Bhai video short karne liye konsa app download karna padega pls batao bhai.
ReplyDelete@ Mohibur,
DeleteTotal video Converter best hai, iske jariye hum video ko convert karake uski size kam kar sakate hai.
Bro video short Karna chahta hun total convert nahi ..Jaise 2 hours full video se 10/15 mins important Crop karna chahta hun. short karna ka apps hai kya ye?
ReplyDelete@ Mohibur,
DeleteAapko video edit karana hai, iske liye sabse popular software hai, camtasia studio.