Mobile Number Portability (MNP) Kya Hai

Mobile Number portability Kya hai, aur iska use kaise kiya jata hai, iske bare me aapko yaha janakari milegi.

Mobile Number Portability (MNP) Kya Hai

Agar aap apne Sim card operator ki services se pareshan hai to aap apna purana number bina change kiye dusare Telecom Company me switch ho sakate hai.
Iske liye aapko pahale MNP ke bare janana hoga ki ye kya hota hai to chaliye janate hai.

Mobile Number Portability (MNP):

MNP ka matlab hai bina purana number badale kisi aur mobile service provide karane wali company me shift ho jana.
Example:
Suppose aap ABC name ki company ka sim card istmaal karate hai. Lekin us company ki jo services, offers hai wo kafi bekar hai. Call rate acche nahi hai. Aap is company se kafi pareshan hai.
To aap MNP ka use karane ABC Company ko change karake XYZ Company ko join kar sakate hai.


Isse aapko fayda ye hoga ki aapka jo purana number hai wo waise hi rahega sirf aapko company change ho jayegi.
MNP ki shurwat 2010 se hui thi.

Mobile Number Port Karane Ke Liye Kuch Conditions:

Agar aap apna mobile number port karawana chahate hai to uske liye kuch conditions hai.

1. Aapka Abhi jo sim card use kare hai aur usko aap port karawana chahate hai to wo 2 month purana hona chahiye.

2. Agar aapke sim card me kuch balance hai, kuch services activate hai to port karane ke bad naye sim par aapko wo balance services nahi milegi.


3. Postpaid user hai to aapke pahale company ka sara bill chunkana hoga.

Mobile Number Port Kaise Kare:
Kisi bhi mobile number portability ke liye same procedure hai to niche di gayi hai.

1. Apne mobile number se aapko ek message 1900 number par send karana hoga.
Message Kuch Is tarah ka hoga:
PORT <mobile no >
PORT 1234567890
Aur send kar de 1900 par.

2. Is message ko send karane bad aapko ek return message aayega jisme Unique Porting code hoga.


3. Ab aap jis company me port hona chahate hai us company ke Operator center (service center) par chale jaye.

4. Unko wo Unique porting code aur apna identity proof de de. Waha pe aapko us company ka naya sim card diya jayega.

5. 4-5 din me aapka mobile number port ho jayega.

FAQ’S:

1. Kya port kiye hue number ko phir se port kar sakate hai kya?
Ha bilkul kar sakate hai, lekin aap ne agar number port kiya hai to aapko us company ki service 90 days (3 month) tak use karani hogi. 90 days ke bad aap phir se number port kar sakate hai.
2. Porting ke liye charge kitana lagega.
Wo aapki nayi company par depend hai ki wo aapse charge legi ya nahi. Kyon ki port karane ke liye koi charge nahi lagata hai.

3. Porting Karane Se Fayada Kya hoga?
Aap apna purana number change kiye bina hi new company me switch ho jayenge. Jisse aapko acchi services aur offer ka labh hoga.

Iske alawa bhi aapke dimag me koi sawal ho to aap comment ke through humse puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

4 comments:

  1. Identity documents kya dena padega All details batao

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Mohibur,

      Identity document me aap aadhaar card, voting card de sakate hai.

      Delete
  2. Bhai 4/5 din hua latest version download kiya..Ye problem aaj subah se ho raha hai..mai 6 baje kisiko msg abhi tak bo msg nahi gaya.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Mohibur,

      App setting me jakar whatsapp ka pura data clear karo. Whatsapp unistall karo aur phir install karo shyad isse aapki problem solve ho jaye.

      Delete