Paytm wallet ab nahi raha ab wo bana gaya hai, paytm payment bank. Paytm Payment bank kya hai?
Agar aap bhi
paytm user hai to aapko is post ko details me read karana hoga, taki future me
aapko koi problem ko face na karana pade.
Kayi friends
se aapko ye sunane ko mila hoga ki paytm band hone wala hai, aur usme jo rupay
hai, wo bhi chalge jayenge. To yesa kuch bhi nahi hai, is post ko read karane
ke bad aapko puri sacchayi samaj me aajayegi.
Paytm Ek
Indian Company Hai Jiske CEO “Vijay Shekar Sharma” Hai. Paytm ab India ka sabse popular e-wallet hai. Note
bandi ke bad iska bahut use hua, lekin server problem, website par load aane ki
wajah se kuch logo ko kayi pareshniya bhi hui. Lekin ab paytm jo hai, wo paytm
na rahakar Paytm Payment Bank hone ja raha hai.
Paytm Payment Bank:
RBI ke
approval ke bad ab paytm wallet, paytm payment bank me transfer ho jayenge.
Isse pahale
humara paytm wallet One97 communication ke jariye operator hota tha. Lekin ab
Paytm account Paytm Payment Bank Limited (PPBL) ke jariye operate hoga.
Isse humare
paytm wallet/account par kuch bhi change nahi hoga. Na hi hume kuch karana hai.
Humara Login id, Password kuch bhi change nahi hoga.
Lekin hume ab
paytm se aur services milegi. Jaise Saving Account, Check Book, Debit Card.
Aur humare paytm wallet me jo bhi rakam jama hogi uspar hume byaj bhi milega.
Agar aap
chahe to aapke paytm account me abhi to bhi rakam hai, wo kisi bhi bank account
me transfer kar sakate hai, jiske liye aapko koi charge nahi lagega.
Lekin ye
transfer aapko 31 jan 2017 se pahale karana hoga.
31 Jan 2017
ke bad paytm payment bank start ho jayega.
In short
Paytm waise ko waisa hi rahega but ab wo ek bank ki tarah work karega. Usme hum
apne family ka account open kar sakate hai. Aur usme saving bhi kar sakate hai.
Paytm Payment Bank Se Jude Kuch FAQ’S:
1. Kya mera
account direct paytm payment bank me covert ho jayega.
Ans: Nahi,
jab paytm payment bank start ho jayega, tab aapke paytm account me iske liye alag
se option diya jayega.
2. Mere
wallet me jo paise hai, uska kya hoga?
Ans: Aapke
account me jo bhi rakam jama hai, wo waise hi rahegi, Agar aap chahte to usko
bank account me bhi transfer kar sakate hai.
Agar aapka
paytm wallet pichale 6 months me use kiya gaya hai, to aapka paytm wallet
automatic paytm payment bank me transfer ho jayega.
3. Jab Paytm Payment
bank start ho jayega to kya paytm wallet bank ho jayega.
Ans: Nahi,
yesa nahi hai, jin logo ko paytm wallet use karana hai, wo pahale ki tarah use
kar sakate hai.
4. Agar mujhe
paytm wallet se paytm payment bank me transfer nahi hona hai.
Ans: agar aap
chahte hai ki aapka paytm wallet , paytm payment bank me transfer na ho, to aap
paytm se contact kare.
Aap care@paytm.com ya phir paytm.com/care is par
jakar contact kar sakate hai.
5. Kya mai
paytm wallet close kar sakata hu.
Ans: Yes,
agar aap chate hai, ki aapka paytm wallet close karana hai, to aap kar sakate
hai.
To is tarah
ab paytm wallet, paytm payment bank hone ja raha hai, jisse user ko aur bhi
facility milegi.
Agar aapka
koi sawal ho to aap hume comment me puch sakate hai.
Aur kisi technical
help ke aap paytm customer care se contact kar sakate hai.
0 Comments: