Agar aap ek website owner hai aur
google adsense ka use karate hai to appke man me bhi ye sawal aaya hoga ki uc
browser me adsense ke ads kaise show kare.
UC Web Browser always ek accha
browser hai, but unone apne browser me ad blocker add kar diya hai. Isse kayi
logo ko fayada hota hai, to kayi logo ka nuksaan.
Ad-blocker Ke Fayade Aur
Nuksaan:
Fayade:
1. Kayi site dher sari ads show
karati hai, un ads se chutakara milata hai.
2. Website fast open hoti hai.
Nuksaan:
1. Agar aap kisi acchi website ko
visit karate hai to uspar jo tutorial likha hota hai, jisme aapko
screenshot, image se sath explain kiya gaya hota hai, wo bhi block ho jati hai.
Jisse aapko wo tutorial samajane me kafi mushkil ho jati hai.
Example: ke Liye Niche di gayi
image dekh sakate hai. Niche di gaye screen shot me Payment proof ke niche
image show nahi ho rahi hai.
Lekin jab hum ad blocker ko off
karate hai, tab hume niche payment proof show ho raha hai.
Agar aap kisi website ke kuch knowledge
ya information lena chahate hai jisme tutorial hai uspar aapko ad blocker off
kar dena chahiye.
UC Browser Me Ad-blocker Kaise off Kare:
Yaha pe mai aapko 2 way bataunga
jisse aap ad-blocker ko off kar sakate hai.
Simple Method 1:
Step 1:
Kisi bhi site ko visit karane pe
website address kea age AD name dikhayi dega uspar click kare.
Step 2:
Uske bad Ad block Mode ko Off kar
de.
Method 2:
Step 1:
UC browser Open kare niche three Link
dikhayi degi uspar click kare.
Step 2:
Uske bad niche setting ke icon par
click kare.
Step 3:
Setting me Jakar Ad Block ko
option niche dikhayi dega uspar click kare.
Step 4:
Phir next step me Ad Blocer, Power
ad blocker 2 option ko off karde.
UC Browser VS Google
Chrome:
Mai apne personal experience se ye
bata raha hu, ki Uc browser kab use karana hai aur Google chrome kab use karana
hai.
Google chrome bhi ek accha aur
bahut popular browser hai, Google chrome use karane par hume wo sari facility
milati hai, jo hum computer par dekhate hai.
1. Agar aap koi big file download
karana chahate hai to mai aapko UC browser istmal karane ki salah dunga.
2. Agar aap kisi website se kuch
browse karana chahate hai, koi information read karana chahate hai to aapko
google Chrome browser use karana chahiye.
Kyon google chrome me wo safi
facility provide karata hai, jo hum ek computer ke jariye dekhate hai.
Agar aap adsense use karate hai,
aur apne khud ke blog pe ads kaise set ki gayi hai ye dekhana chahate hai to ye
step aap bhi jarur apanaye.
To is tarah hum uc web browser me
ads, pictures ko show kar sakate hai.
Aapke man me koi sawal ho to aap
humse puch sakate hai. Is post par apne sujaw bhi hum se share kar sakate hai.
Plz admin UC me adds add karne ka post kijiye
ReplyDelete@Tech Jhaks,
DeleteUpar wahi bataya hai.