WordPress Par Free Blog, Website Kaise Banaye

WordPress ek bahut accha aur popular platform hai blogging ke liye. Kafi sare blogger WordPress blog banane ko hi mostly prefer karate hai. To aaj hum Janate hai ki WordPress par free me apan khud ka blog ya website kaise banayi jati hai.

WordPress Par Free Blog, Website Kaise Banaye

WordPress.com se hum free me apna blog create kar sakate hai, jaise isse pahale dekha ki blogger.com ki help se kaise hum free blog bana sakate hai, same usi prakar WordPress par bhi free blog bana sakate hai.


                       WordPress aur blogger me bahut se difference hai, blogger par hume limited facility aur option dekhane ko milate hai to wahi WordPress par unlimited features aur option hume use karane ko milate hai.
Lekin blogger aur WordPress ki apni apni khud ki vishestaye hai.

WordPress Par Free Blog Kaise Banaye:

Free blog banane ke liye hume sirf ek email id ki jarurat padati hai. WordPress par hum jo free blog banate hai, wo sirf learning purpose ke liye hi bana sakate hai. Agar aap us blog se paise kamana chahate hai to uske liye aapko WordPress.org ka istmaal karana hoga. 



Jisme hume domain name aur hosting buy karani padati hai.
Lekin WordPress.com par hum free me blog bana sakate hai, jiska domain kuch is tarah hota hai yoursistename.WordPresss.com aur ye bilkul free hota hai.
Aapko uske liye sirf niche di gayi step ko follow karana hai.

Step 1:
WordPress.com ko apne browser me open kare. Get Started par click kare.

Get Started


Step 2:
Ab humara blog kaisa dikhana chahiye iske liye hume uska layout chunana hai.
Yaha par aap apne hisab se layout select kar sakate hai, mai yaha pe “A list of my latest post”. Select kar raha hu.

Select Layout


Step 3:
Next setp me hume template select karani hai. Template yane humari website ka design hota hai ki humari website, blog kaise dekhega. Waha par aapko 9 template dikhayi degi usme se aapko jo pasand ho aap wo chun sakate hai.

Select Theme


Step 4:
Aage ki step me hume humare blog ka name dalana hota hai. Aap apne hisab se kuch bhi name dal sakate hai. Jaise apna khud ka name, ya phir computertips etc.
Phir niche di gayi domain list se hume first wala select karana hai.


Select Domain Name


Example:
Newwebsite2017.WordPress.com


Step 5:
Ab hume plan select karana hai, maine upar bataya ki hume free blog banana hai isliye hum plan me free select karenge.
Free paln me hume 3GB space milata hai.

Select Plan Free


Step 6:
Last step ab hume WordPress.com par humara account create karana hai, jiski help se hum apna blog manage kar sake.
Your email address: yaha pea pan email id dale.
Choose a user name: isme aapko jo user name chahiye wo dale ya by default jo hai wo bhi rakh sakte hai.
Password: Imse apna password dale.
Create My Account par click karde.
Create Account


Wow! Aapne WordPress par successfully apna blog create kar liya hai.
Ab https://WordPress.com/wp-login.php par chale jaye aur apne account me log in karake apne blog par post dalana shuru karde.


Just a 5 step me hum WordPress par free blog bana sakate hai, jo humane upar dekha. Agar iske bare me aapke man me koi sawal ho to aap comment me puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

4 comments:

  1. Bhai video short karne liye konsa app download karna padega pls batao bhai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Mohibur,

      Total video Converter best hai, iske jariye hum video ko convert karake uski size kam kar sakate hai.

      Delete
  2. Bro video short Karna chahta hun total convert nahi ..Jaise 2 hours full video se 10/15 mins important Crop karna chahta hun. short karna ka apps hai kya ye?

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Mohibur,

      Aapko video edit karana hai, iske liye sabse popular software hai, camtasia studio.

      Delete