Agar aap apne mobile me 2 whatsapp
1 sath use karana chahate hai to is post me janate hai.
Aapka koi bhi mobile ho redmi,
Samsung, ya phir aur koi kisi bhi mobile me simple trick ka use karake hum
double whatsapp use kar sakate hai.
Double Whatsapp Ki
Jarurat Kyon Padatai Hai?
Humare dimag me ye sawal aata hai
ki aakhir double whatsapp ki kya jarurat hai.
Hum jo whatsapp use karate wo
jayadatar primary number par hi use karate hai. Lekin kayi bar hume apna
whatsapp number kisi dusare ko dena padata hai chahe wo kisi work ki wajah se
ho ya kuch aur.
Lekin agar aap chahate hai ki
aapka primary number sirf aapke dosto aur ristedaro ke sath hi share karana
hai, aur work ke liye other number use karana hai to same procedure hum dual
whatsapp use karake kar sakate hai.
Isse kya hoga humare work se
realted logo ko dusara whatsapp number dena padega aur dosot, ristedaro ke liye
alag whatsapp number dena padega.
Dual Whatsapp Kaise Use Kare:
2 whatsapp use karane ke liye hume
ek external application ki jarurat hoti hai, jiska name hai “Parallel Space
Multi Accounts”.
Parallel space application ki help
se hum kisi bhi app ka clone bana sakate hai. Yane koi bhi application double
use kar sakate hai.
Parallel Space Kisliye Use Kare:
Dual whatsapp ke liye kayi log GB
Whatsappp use karate hai lekin parallel space use karane ka fayada ye hai ki
hume mobile root karane ki koi jarurat nahi hai.
Parallel space se simple 2
whatsapp use kiye ja sakate hai. Ye bahut hi simple aur easy hai har koi isko
use kar sakata hai, ye bilkul free hai.
Step 1:
Sabse pahale apne mobile se google
play store par chale jaye aur “Parallel Space Multi Accounts” search
kare.
Step 2:
Us application ko download karake
install karle.
Step 3:
Parallel Space application start
karde.
Step 4:
Prallel space start karane ke bad
homescreen par hume wo application add karane hote hai jo hum double use karana
chahate hai, + ke sign par click kare.
Step 5:
Application ki list se whatsapp ko
select kare aur Add to Parallel space click kare.
Step 6:
Parallel space me whatsapp add
hone ke bad waha se whatsapp ko start kare.
Whatapp ki terms and condition ko
accept kare.
Step 7:
Next whatsapp par aap jis mobile
number se account banana chahate hai wo mobile number dale.
Is tarah hum regular whatsapp par
first time account banate hai usi prakar aapko yaha bhi karana hoga.
To is tarah in simple steps ko
follow karake aap dual whatsapp use kar sakate hai.
Agar aap kisi bhi step me koi
problem aati hai to aap comment me hum se puch sakate hai.
Humara facebook page like jarur
kare taki aapko humare latest updates ke bare me facebook par Jankari milati
rahe.
0 Comments: