Hello Dosto, Agar aap ek youtuber
hai aur agar aapke pass apna blog, website hai aur usme aap apne youtube video
ko add karana chahate hai to is post ko read kariye aur chutkiyo me apne kisi
bhi Youtube video ko Blog, Website me add, embed Kar Sakate Hai.
Youtube Videos Ko
Blog, Website Me Kyon Add Kare?
First sawal humare man me aata hai
wo hai ki video ko blog me add karane ki jarurat kya hai? all ready youtube par
video publish kardi hai to iski kya jarurat hai.
To chaliye pahale iske bare me
charcha karate hai, man lijiye aapke youtube channel par 1000 subscriber hai
aur aapne youtube par video upload kardi , publish kardi. Uska notification
sirf 1000 subscriber tak hi jayega aur unme se kuch hi log aapke video ko
dekhane ko aayenge.
To dusari aur aapki website hai
aapki website par daily 4000-5000 page views hote hai, aur waha par aapne video
add kardi. To un 4k-5k user me se kum se kum 1000-1500 to us video ko dekh hi
lenge to ab aap samaj gaye honge ki video ko blog me add karana kyon jaruri
hai.
Isse aapko double views milenge sath me blog se aapka video jaldi index ho jayega.
Isse aapko double views milenge sath me blog se aapka video jaldi index ho jayega.
How to add/Embed Youtube video in Blogger:
Blog me video add karane ka ek aur
fayada bhi hai ki kuch yese tutorial, post hoti hai jinko hum text me likhkar
samaja nahi sakate hai. Isliye us post se related video banakar hum usme add
kar sakate hai jisse humare user ko bhi easily understand ho jaye.
Humari post user friendly ban
jayegi, aur umse acche se keyword add karane par search engine me
jaldi se index bhi ho jayegi.
Isse humare blog aur YouTube
channel dono ke liye fayada hota hai aur humari earning increase ho jati
hai.
Step 1:
Sabse pahale apna youtube channel open
karle.
Step 2:
Ab aap jis bhi video ko blog me
add karana chahate hai usko open karle. Video play kare.
Step 3:
Video ke niche Share option
pe click kare.
Step 4:
Uske bad embed par click
karde.
Step 5:
Embed par click karte hi aapko ek
code dikhayi dega us code ko copy karle.
Step 6:
Apna blogger dashboard open karle.
Jis post me youtube video ko add karana chahate hai us post ko edit html mode
me open karle. Code ko ab HTML view me paste karde.
Step 7:
Aur Compose mode par click kare ab aapko video waha show hoga. Post puri
hone ke bad publish karde.
Agar aap video ki height, width ko
change karana chahate hai to aap us code me change kar ke kar sakate hai.
Aur agar aap chahate hai ki aapka
video sidebar me add karana hai to uske liye aap simple HTML/Java Script widget add
karake usme code paste kar sakate hai. Aapko jaha par bhi wo video show karana
hai sirf waha pe HTML/Java Script widget add karani hai.
To is prakar hum simple steps ko
follow karake apne kisi bhi video ko apne blog post me add kar sakate hai.
0 Comments: