Facebook Account Delete Kaise Kare, Facebook account humesha ke liye delete kaise karate hai. Facebook social networking site
hai iska limited use karana hi sabke liye accha hai. Lekin kayi logo ki iski
aadat lag jati hai wo ganto ganto tak facebook par apna time bitatate hai.
Agar aapko bhi yesi lat lag gayi
hai aur aap isse chutkara pana chahate hai to iska best way hai Facebook
account ko permanently delete kar dena.
Ya phir aap kisi aur wajah se
facebook account ko permanently delete karana chahate hai to aapko niche di
gayi steps ko one by one follow karana hoga.
How to Delete Facebook Account Permanently:
Note: Account
delete karane se pahale aapka jo bhi data (images, videos) facebook par available
hai uska backup lena chahate hai to le le.
Step 1:
Sabse pahale apne facebook account
me log in karle.
Step 2:
Ab niche diye hue delete my
facebook account button par click karde.
Step 3:
Aapke samane kuch niche ki tarah
ke box hoga usme delete my account par click kare.
Step 4:
Uske bad ek pop up open hoga jisme
hume apna facebook account ka password enter karana hoga uske niche Captcha
code enter kare aur phir OK par click karde.
Step 5:
Phir ek pop up open hoga usme
aapko bataya jayega ki aapka account next 14 days me delete ho jayega usse
pahale aap agar log in karate hai to phir se activate ho jayega. Uske niche OK
Par click kare.
Step 6:
Phir se ek baar confirm deletion
par click karde. Ab aapka account permanently delete ho gaya hai.
Facebook Account Delete Karane Ke Bad Kya Hoga?
Facebook deactivation aur deletion
alag alag hai isme aap confuse mat hohiye.
Jab hum fb account delete karate
hai to ukse bad aapke account ka kya hoga?
1. Facebook account deletion ke
request ke bad humara account 14 day to 90 days ke bich me delete ho jayega
iske bich me agar aap login karate hai to phir se activate ho jayega.
2. Jab aapka facebook account
delete ho jayega to aap usko access nahi kar sakate.
3. Deletion request send karane ke
bad 90 days lag sakate hai facebook ke backup server par ka data delete hone
me. Lekin aap is information ko access nahi kar sakate.
4. Facebook server par log data
store rahega. Taki future me koi problem ho to is info ka use kiya jata hai.
Final deletion ke bad us account
ko kabhi bhi access nahi kar sakate hai.
Post se related koi problem ho to
comment me puch sakate hai.
Account delete hone ke baad usi phone number se dusra account bana sakta hun kya?
ReplyDelete@mohibur,
DeleteAapka account full delete hone ke bad dobara us number se account bana sakate hai.