How to check jio balance. Agar aapke Pass Reliance jio ka
sim card hai aur aap uska Balance check karana chahte hai, Data
balance check karana chahte hai to yaha par aapko uski Jankari mil jayegi.
Ab aage se hume reliance jio ka Balance check karane ki jarurat padegai. Aur ye kam hum bina USSD codes ke bhi kar sakate hai.
Reliance Jio ka balance hum bina USSD code ke bhi check kar sakate hai.
Reliance Jio ka balance hum bina USSD code ke bhi check kar sakate hai.
Jio ne abhi haal hi me apni Prime
Membership ki date ko badhaya hai aur usko 15 April kar diya hai. Sath hi Summer Surprise offer bhi di hai. Jiske bare me aapko puri details yaha par
mil jayegi.
Lekin in offers me hume daily 1GB
data ki limit di gayi hai to humane kitana data use kiya hai aur kitna data
remaining hai wo agar hume check karana hai to kaise karenge.
Jab 1 GB data ki daily limit khatm
ho jati hai tab hume 128kbs ki speed milati hai aur ye speed bahut slow hoti
hai. Isliye hume 1GB 4G data ko thik se use karana padata hai usko kaise check
kare ye aap niche dekh sakate hai.
Reliance Jio Ka Balance Kaise Check Kare:
Step 1:
Sabse pahale aapke pass Reliance
Jio ka MY JIO App hona jaruri hai. Agar aapke pass my jio app nahi hai
to usko play store se download kare.
Step 2:
My Jio App ko download karane ke
bad install karle. Ab apne mobile ka data connection on kare. Aur my jio app
open kare.
Step 3:
Open karane ke bad app ke main
screen pe my jio ke aage open pe click kare.
Step 4:
Uske bad Sign in With Sim option
par click kare.
Step 5:
Ab aap apne account me log in ho
gaye hai ab aapko wahi par ek option show hoga jisme aapko apna jio ka mobile number,
balance show hoga. Yaha par aapko aapka jo main balance hai wo show hota hai.
Step 6:
Daily data usage limit ko check
karane ke liye aapko do PLAN benefits aur Balance ye 2 option show honge.
Usme balance par click kare ab
aapko daily data usage dikhayi dega.
To is tarah hum my jio aap se apne
jio ka mobile number aur data balance check kar sakate hai.
Agar aap apne jio number ke liye
recharge karawana chahate hai aur uske liye offer check karna chahate hai to wo
bhi aap yaha se hi kar sakate hai.
Uske liye aapko upar bataya gaya
hia waise hi step follow karani hai, aur phir Recharge par click karana hai.
Recharge par click karate hi aapko
plan show honge jisme Jio Prime, Plans, Top-up, Booster, Extras is tarah ke
option show honge. Aapko jis prakar ka plan chahiye wo aap yaha se hi chun
sakate hai.
Payment karane ke liye aap Net
banking, credit, debit card ka istmaal kar sakate hai.
Iske alawa aapke man me JIO ke
bare me koi sawal ho to aap niche comment me puch sakate hai.
kiya jio me 10 ka rechrge bhi ho skta h sir plzzz tell me now
ReplyDelete@Arif,
DeleteHo sakata hai.
10ka recharj to kar liya per phone nahi jata h,aisa q
ReplyDelete@shayad ab 10 ka recharge band ho gaya hai.
Delete