Android Mobile Me Live TV aur free
cricket ka score dekhane ke liye best android apps kon se hai, iske bare me aaj
hum baat karane wale hai.But Hum Bina Internet ke Live TV nahi dekh sakate uske liye internet jaruri hai.
Aaj internet par hume bahut sare
application mil jayegi jiski help se hum live TV dekh sakate hai, cricket,
kabbadi, football bhi dekh sakate hai.
Iske liye humare pass mobile me
internet maujud hona jaruri hai, aajkal sabhi mobile companies unlimited
internet paln offer karati hai, agar wo plan hai to hum free me live tv dekh
sakate hai. Iske liye humare pass best android apps hone jaruri hai, jo
buffering na kare, video quality acchi ho to chaliye janate
hai apps ke bare me.
Best Apps Live TV & Match Dekhane ke Liye:
1. YuppTV - LiveTV Movies Shows
Ye ek behatarin application hai jo
hume play store pe mil jata hai. Is application ke jariye hum live tv, movies, cricket
bhi dekh sakate hai.
Yupp TV pe hum niche diye gaye
hindi channel dekh sakate hai.
Hindi - Star
Plus, Aaj Tak, NDTV India, Colors, Sony TV, Zee TV, UTV Movies, Life OK, Set
Max, Zee Cinema, SAB, 9XM, SUB TV, SONY MAX, Reshtey TV, Bindass TV.
Iske alwa hum Tamil, telagu
channel bhi dekh sakate hai.
2. Hotstar TV Movies Live Cricket
Sabse most popular app me se ek
hotstar hai. Ye application isliye popular hai, kyon ki isme hum live tv,
sports channel, movies dekh sakate hai, aur wo bhi 2G, 3G speed ke sath, Live
tv dekhate samay ye bilkul bhi buffering nahi karata hai.
3. dittoTV: Live TV shows channel
Ditto Tv behi ek accha aur
behatarin application hai. Isme hume 100 se bhi jayada channel hume dekhane ko
milate hai. Hum apne favorite serial, movies dekh sakate hai.
4. Voot TV Shows Movies Cartoons
Voot haal hi me aaya hua new app
hai, jo behat hi accha hai. Iske name se hi hume pata lagata hai, ispar hum,
live shows, movies, cartoons serials etc. dekh sakate hai.
5. Tata Sky Mobile
Tata sky dish se to hum sub log
parichit hai. Hum ghar par tata sky ka use karate hai. Same uski parakar hum
mobile par bhi Tata sky ke channel dekh sakate hai. Is application ke jariye
hum ghar par jo set top box hota hai, uska subscription ko bhi manage kar
sakate hai.
6. Direct to Mobile
D2H yane is application se hum jo
ghar par D2H ke programs dekhate hai, wahi is par bhi dekh sakate hai. Isme hum
news, movies, live cricket bhi dekh sakate hai. Isme hum 50 se bhi upar channel
dekh sakate hai.
Live Tv Dekhane Ke Liye best Adnroid Apps
Aapko jo bhi aaplication accha
lage usko download kare aur mobile me install karle. Aur aapke manpasand shows,
movies dekhane start kardo.
To aapko ye application kaise lage
comment me hume jarur bataye. Aur agar aapke pass bhi koi accha app ho to aap
humare sath jarur share kare.
Bhai 2G mobile me Hotstar apps se dekh hi nahi paa raha Maine. bufferring ho raha hai. 5 sec after many time buffering aise kyu ?
ReplyDelete@Mohibur,
DeleteHotstar ki setting me jakar quality low select karo tabhi 2G par dekh payenge.
Bhai 2G mobile me usme se konsa quality set karna padega pls bolo
ReplyDelete@Mohibur,
DeleteHotstar open kare ab live streaming karate samaye setting me quality ko low select kare.