B.com Yane Bachelor of Commerce Hota Hai, B.com Karane Ke liye hume 12th se Commerce pass hona jaruri hai. B.com Me Kitane Subject Hote hai? B.com ke bad kya kar sakate hai? In jaise kayi sawalo ke jawab aapko niche is post me milane wale hai.
Hum Janate hai ki 12th ke bad humare samane bahut se options hote hai, jinke jariye hum apna
career bana sakate hai.
Lekin agar aapne 12th
me Commerce faculty select ki thi, to ab aage kya karana hai? ya kya kar sakate
hai iske bare me hum baat karenge.
B.com Kya Hai?
B.com yane Bachelor of Commerce hota
hai. Ye 3 years ka Graduation course hai.
12th me jin logo ne
commerce faculty select ki thi, wo log B.com kar sakate hai.
Khas taur par isme accounting,
finance se related subjects hote hai.
B.com Me Kon Se Subjects Hote Hai:
Ye three years ka Graduation
course hai jisme 6th Semester hote hai aur Isme accounting se
related subject’s hote hai jaise ki, isme kuch optional aur kuch compulsory
subject hote hai.
B.com Subjects:
1. Business law
2. English
3. Statistic
4. Financial Accounting
5. Corporate Law
6. Corporate Accounting
B.com Ke Bad Kya Kare:
B.com ke bad humare samane aur bhi
options hote hai, jisme hum chahe to job kar sakate hai ya phir master degree,
higher education le sakate hai.
B.com complete hone ke bad hum competitive
exam ke liye bhi try kar sakate hai.
B.com ke bad M.com yane master of
commerce yane post-graduation kar sakate hai. Ya phir MBA (Master of Business Administration)
bhi kar sakate hai.
Banking exam ki taiyaari bhi ek
accha option hai.
To ab aap samaj gaye honge ki
B.com kya hota hai, isme main subjects kon se hote hai, B.com karane ke bad
aage kya kya career options humare samanae hai etc.
Iske alawa aapke man me koi sawal
ho to aap hume niche comment me puch sakate hai.
B com ke bad sarkari naukri milsakti kya b com ke kya fhaida h
ReplyDelete@Esha,
DeleteB.com ke bad aap govt.jobs ke liye apply kar sakate hai. Aur chahe to aage C.A. ki taiyari kar sakate hai.
B Com se hum banking ke liya kis post ka paper dete hai
Delete@Baking me alag alag prakar ki vacancies hoti hai, uspar nirbhar karata hai.
DeleteB.com me hum English nhi Lena chate Hai tó Kya kre Kya 5 subject nhi mil skte place reply
ReplyDelete@Ranjeet,
DeleteEnglish compulsory hota hai. Aap ek bar college me confirm karlo.
b.com ke liye 12 accounts se krna jruri hai kya art side wale b.com ni kar skte
ReplyDelete@Nishu,
DeleteNahi kar sakate
Art side wale b com kyo ni kar sakte h please sir bato na
ReplyDelete@nahi kar sakate uske liye 12th me commerce jaruri hai.
DeleteSir b com me account ko chodkar business lekar nahi pad sakte hai Kya b com karne me kitna kharcha aayega
ReplyDelete@Subject aapko select karane honge, B.com ka kharch college par depend hai.
DeleteSir B.com pass course karne ke baad hum C.A apply kar sakte hai
Delete@CA kaise bane ( CA banane ke liye kya kare)
Deletebank manager ke liye kese apply kare
ReplyDelete@Uske liye sabse pahale aapke pass baking ka 4-5 saal ka experience hona jaruri hai, aur uski exam bhi hoti hai.
DeleteB.com Ka syllabus badla hai kya sir.please bataiye
ReplyDelete@aap apni university ki website par jakar check kar sakate hai syllabus.
DeleteSir kya bio group wale b com kr Skte h
ReplyDelete@Yes
DeleteKya b com mey admission 12th math
ReplyDeletewale student ka bhi ho sakta hai please reply
@ji ha kar sakate hai.
DeleteSir mene 2015 me12th ki thi to ab b.com me admition ho sakta he
ReplyDelete@ha mil jayega.
DeleteSir kya hum bcom ka padaai k saath tally sikh sakte h aur regioning class kr skte hai
ReplyDelete@Ji ha b com ke sath tally aur reasoning ke class kar sakate hai.
ReplyDeleteSir 12th maith se hai tab to kar sakte hai na b.com
ReplyDelete@Yes kar sakate hai.
ReplyDeleteCommerce se Police me bharti ho sakte h
ReplyDelete@Ji commerce se bhi police me ja sakate hai.
ReplyDeletemaine abhi 12th complete ki he to kya aap bta sakte he ki b.com me career ko lekr kya kya option h
ReplyDelete@B.com ke bad CA, M.COM Ya phir Kisi Bank me Job, ya phir UPSC Jaise government job ki taiyari kar sakate hai.
ReplyDeleteB.com me kitne subject hote hai or 1st year me kitne paper hota hai plz reply
ReplyDelete@Subject upar bataye hai, aur aur 2 semester hote hai.
ReplyDeleteSir PSC ki tayari karni hain to kya Mai Be.com KR Sakti hu or 12 class mein kon kon se subject le sakte hain B.com karne k liye
ReplyDelete