How to select best domain name? Domain
name kaise select kare? Pefect domain name kaise select kiya jata hai, Iske
bare me is post me baat karenge.
Jab hum blogging start karate hai
tab sabse pahala kam hota hai ek accha sa domain name select karana. Kyon ki
humara domain hi internet par humari identity hoti hai.
Aap apne business ka ya apna khud
ka ek brand banana chahate hai to domain name select karate samay aapko kuch
baato par dhyan dena padata hai.
Aam taur par log paise kamane ke
liye blogging start karate hai. Lekin isme kafi samay lagata hai, blogging se
such me paise kamana chahate hai to aapko bahut mehanat karani hogi. Apna khud
ka ek brand banana hoga jisse aapko log internet par pahchanane lag jaye. Ek
baar aap internet par popular ho gaye uske bad aapki income bhi start ho
jayegi.
Isliye blogging ki aur humara
pahala kadam hota hai umse hume ek best domain name select karana padata hai.
Domain Name Kya Hota Hai?
Domain name ke bare me agar aapko
pata nahi to short me bata deta hu.
Example:
http://www.facebook.com
Http: hypertext transfer protocol
Www: world Wide Web
Facebook: Domain name
Com: domain extension
Isme facebook jo hai wo domain
name hai aur .com domain ka extension hai.
Best Domain Name Kaise Select Kare:
1. Niche Related Domain Select Kare:
Niche ka matlab
hota hai aap kis topic par blog, website banana chahate hai.
Agar aap blogging se related blog
bana rahe hai to blog se related hi domain name select kare.
Yaha par aapko ye tay karana hota
hai ki aap kis topic par site banana chahate hai.
Educational tutorials, blogging
guide, make money, exam results, health In jaise topic par agar aap blog banane
ke bare me soch rahe hai to ussi se related keywords ka istmaal karana jaruri
hai.
2. Short Name Select Kare:
Domain name select karate samay ye
baat dhyan me rakhe ki site ka jo name hai wo short hona chahiye. Jo logo ke
dhyan me rahe.
Domain me 2-3 hi word ho to aur
bhi accha hai.
Jaise google.com, facebook.com ye
name hai ye bahut short hai, inme sirf 1 hi word use kiya hai jo yaad rakhane
me aasan hai.
3. .com (top level domain) Select
Kare:
Agar aap apne business ko worldwide
promote karana chahate hai to aap .com (TLD) domain extension use kare.
Kyon ki jitani bhi popular sites
hai chahe wo tech site ho, blogging guide ho wo .com hi use karati hai.
Iska fayada aapko ye hoga ki aapko
worldwide traffic milegi.
Lekin agar aap sirf India ko
target kar rahe hai to (.in) bhi use kar sakate hai. Yesa nahi hai ki hum India
me .com use nahi kar sakate? Lekin .com hi sabse better hai.
4. Don’t use copyrighted/ expired
domain:
Copyrighted domain kya hota Hai? maan
lijiye ki kisi ek vakti ka Youtube par channel hai aur wo channel bahut popular
hai.
Us YouTuber ki koi site nahi hai
to aapko laga ki aap usi youtube channel name se domain purchase kare, to yesa
aap nahi kar sakate. Isse bad me aapko pareshani ho sakati hai.
Expired Domain: Hum jo bhi domain purchase
karate hai uski expiry date bhi hoti hai. Agar hum usko renew na kare to wo expire
ho jata hai.
To hume is tarah ke expired domain
bhi select nahi karane hai.
5. Don’t use brand name/ don’t copy
others blog name:
Domain name me aap kisi brand ka
naam nahi use kar sakate hai. Yesa karana aapke liye pareshani ka karan ban
sakata hai.
Ye kisi dusare ke blog, site ka
name copy na kare. Agar aap kisi dusare ke blog, site ka name copy karate hai
to internet par apni khud ki pehchan nahi bana payenge.
Example:
Facebook.com ye world ka top most
site hai. Aap iska use pane domain name me nahi kar sakate.
Yane aap “facebooktips “is tarah
ka domain nahi select kar sakate.
6. Main Keyword Use Kare:
Aap jis bhi niche se related blog,
site bana rahe hai uspar thodi keyword research kar le.
Keyword research karke kuch yese
keyword find kare jinki monthly searches high ho.
Aur unme se 1-2 keywords ko apne
domain name me add kare. Aur add karate samay ye dhyan me rakhe ki usse kuch
meaning nikale.
7. Don’t use hyphen, numbers:
Kuch log kya karate hai kisi aur popular
domain se related domain buy karane ki koshih karate hai. Lekin wo mil nahi
pata hai to usme kuch hyphen, special characters, numbers use karake wo buy kar
lete hai.
Lekin domain me is tarah ke
hyphen, numbers na use kare.
8. Domain Name suggestion Tools ka
use kare:
Aap khud se domain name select
nahi kar pa rahe hai to aap different tools ka use kar sakate hai.
Internet par kayi yesi sites hai
to hume domain name select karane me help karati hai. Waha pe jakar hume sirf
apne domain realted 1-2 keywords dalane padate hai. Wo aapko bahut se acche
suggestion de deta hai.
Example:
Namemesh.com
9. Trusted, Popular Site se Domain
Buy Kare:
Domain name humesa trusted site se
buy kare. Jo sites popular hai unhi site se domain buy kare.
Cheap domain ke chakkar me low
trusted site se domain na buy kare.
Trusted & Popular sites:
Godaddy.com
Bigrock.com
10. Friends Ki Help Le:
1 se bhale 2, 2 se bahle 3.
Agar aap khud domain name select
nahi kar pa rahe hai to aapke jin friends ki iski Jankari hai, unki aap help
le. Aap unke sath discuss kare, unki salah le.
To ab aap samaj gaye honge ki
domain name select karate samay kin baato ka dhyan rakhana hai.
0 Comments: