Blog ko BlogSpot se Delete Kaise Kare? Blog delete kaise kiya jata hai, iske bare me is post me Jankari lete hai.
New blogger apni blogging journey blogger.com se start karate hai. Kayi blogger experience ke liye
blogger par blog banate hai to kayi knowledge sharing ke liye.
Lekin kayi baar yesa ho jata hai
ki hum naya blog banate hai aur uska use bhi nahi karate hai.
To agar aapne bhi is tarah ke blog
bana rakhe hai aur un blog ko blogspot se permanently delete karana chahte hai
to aapko simple kuch steps follow karani hai.
Reason to Delete Blog - Blog Delete Kyon Karate Hai?
1. Agar aapne custom domain aur hosting purchase kar li hai aur ab aap apne blog par work nahi karate hai to usko
delete kar sakate hai.
2. Aapke blog par jayada traffic
nahi aarahi hai, isi wajah se bhi kayi log blog delete karana chahate hai.
3. Blog par kuch yese content hai
jo blogger ki TOC ke khilaf hai to aapko wo blog delete karana hoga.
4. New blogging start ki hai aur
aapne wahi domain select kiya jo already purchase kiya hai. Ye bahut popular
hai, Isse aapke blog ko nuksaan hoga kyon ki aapko us name ki wajah se traffic
nahi milegi.
Is wajah se aapko blog delete
karana pad sakata hai.
Blog Ko BlogSpot se permanently Delete Kaise Kare:
Jab aap koi blog ko BlogSpot se
delete kar dete hai, delete karane ke bad hum us blog ko 3 month ke under
undelete bhi kar sakate hai.
Tip: Blog ko
delete karane se pahale uska backup jarur le.
Step 1:
Blogger ke dashboard ko open
karle.
Step 2:
Agar aapke pass multiple blog hai
to jo blog aap delete karana chahte hai wo select kare.
Step 3:
Niche setting – others par
click kare.
Ab right side par delete blog
par click karde.
Step 4:
Ab ek popup khulega usme Download
Blog Is par click karane par aapke blog ka backup download ho jayega.
Uske niche Delete this blog par
click karde. Ab aapka blog successfully delete ho gaya hai.
In future agar aapko lage ki aapko
wo blog restore karana hai to simply hum usko undeleted kar sakate hai. Lekin
aapko 3 months ke under ko undelete karana hoga.
0 Comments: