Computer me New Operating system kaise install kare. How to install new windows, Windows 7 Installation steps. Apane laptop ya computer ko format karate hai aur usme new operating system install kare. Maine ise pahale post me bataye tha ki kaise hum apne slow pc ya laptop ka speed bada sakate hai.
Par kabhi kabhi kya ho jata hai apne laptop me bahut sare virus
aate hai iski wajah se hume apna pc format karana padata hai. Computer ko
format karane par humara computer fast, aur tezi se work karata hai.
Computer format karane se pahale aapko jo important data hai jo ko
C drive me hai uska backup jarur le. Kyon Format karate waqt hume sirf C drive
ko hi format karana hota hai. Baki drive ko hume waise hi rakhana hota hai usme
humara jo data hai wo waise hi safe rehega.
Computer Format Karane Ke Liye Kin Chijo Ki Jarurat Hogi:
1. Bootable DVD / Pen Drive:
Agar aapko computer format karana hai to aapko jo operating system
install karani hai uski bootable DVD ya bootable pen drive ki jarurat hogi.
Agar aapke pass yesi DVD ya Pen drive nahi hai to aap bazar se le
sakate hai ya phir kisi Computer shop se bhi le sakate hai. Agar ye sab nahi
karana hai to aap internet se bhi download kar sakate hai.
2. Product Key:
Isme bhi 2 tarah ki DVD milati hai
1 hoti hai Auto bootable DVD jisko product key ki jarurat nahi hoti aur dusari hoti hai
Formatable jisme hume product key ki jarurat hoti hai.
3. CD/DVD ROM:
Dvd Rom yane jisme hum CD ya DVD dalkar chalate hai wo. Laptop me
to ye inbuilt hota hai par kisi ke computer me ye hota hai to kisi ke nahi.
Isliye DVD Rom hona utna hi jaruri hai.
Agar aapke pass DVD Rom nahi hai to aap bootable pen drive ki madad
se bhi computer format kar sakate hai.
Computer Format Karane Ke liye Di Gayi Step Follow Kare:
Step 1:
Bootable DVD ko DVD Rom me dalkar computer ya laptop ko restart kar
de. Restart karne ka bad jab aapka computer phir se shuru ho jayega tab aapko
blank screen me kuch is tarah ka message dikhayi dega. “Press Any Key to Boot Form DVD” Apne keyboard se Enter ka
button press kare. Windows is loading files……..is tarah aapko dikhayi dega.
Dusara Option: Agar aap ko yesa message nahi aa raha
to aapko apne computer ka boot sequence change karana padega. Boot sequence
change karane ke liye computer ko phir se restart kare aur computer shuru hone
se pahale hi keyboard se “Delete, F2, F8 ,” in me se koi ek key press kare.
Kyon harek pc ka boot menu alag alag key se open hota hai.
Mere pass Dell ka laptop hai dell ka boot menu F12 key dabane se aa
jata hai.
Phir boot menu se boot sequence ko First Me Boot Form CD/DVD select
kare setting ko save kare. Phir computer restart ho jayega.
Step 2:
Windows is loading files…..ka message dikhayi dega kuch seconds me
aapke samane ek window aayegi waha se language aur time zone select kare maine
jo niche dikhaya hai waise hi rahane de. Next par click kar de.
Step 3:
Phir Install Now Pe click kar de.
Step 4:
Phir Operating System kaun sa use karana hai wo select kare. Agar aapke DVD me ek se jayad operating
system hogi tabi ye option dikhayi dega. Jaise agar aap 32 bit ki operating
system use karana chahate hai to 86 select kare.Aur agar aapko 64 bit use
karani hai to 64 select kare.
Jaise maine select ki hai Windows 7 Home Premium 86. Next pe click
kare.
Step 5:
Aapke samane dusari window khul jayegi usme aapko 2 options dikhyi
denge.
1. Upgrade: Agar
aapke computer me jo operating system hai aur wahi operating system aapke is
DVD me hai to aap ye option select kare. Isse aapki pahali ki jo setting hai ,
files hai uska backup ban jayega.
2. Custom: Agar
aap new operating system install karana chahate hai to custom select kare.
Mai Custom Select Karane Ko Recommend Karata Hu. Phir Next pe click
kare.
Step 6:
Terms and condition ko accept karke next pe click kare.
Step 7:
Agar aapko koi drive format karana hai to Drive Option par click kare phir niche aapko kuch new option dikhyi
denge. Jis drive ko format karana hai use select karke format pe click kare.
Disk 0 Partition 1: Ye C dirve ke liye hota hai uske samane
Primary dikhayi de raha hai use select kare aur next pe click kare.
Note: Drive select karate samay dyan me rakhe ki aapko C drive par hi
operating system install karani hai.
Step 8:
Installing windows ka option dikhayi dega yaha pe windows ki files
ko copy hone me time lageaga. Kum se kum aapko 20-25 minutes tak wait karana
hoga. Jab ye 100% pura ho jayega to aapka
computer ya laptop apne aap restart ho jayega.
Step 9:
Aapke samane apane pc ke liye User Name dena hai wo windows open ho
jayegi.
Aap isme apni manpasand ka koi bhi naam rakh sakate hai jaise
admin, umesh-pc etc. aur next pe click kare.
Step 10:
Phir password dale aur next pe click kare.
Step 11:
Agar aapki DVD Auto installation ki hogi to wo aapko product key
nahi puchegi. Agar aapki DVD auto installation ki nahi hai to aapke DVD pe jo
key hoti hai us key ko dalkar next pe click kare.
Step 12:
Aapko setting ke bare mu puch jayega use
recommended setting ko select kare aur next pe clic kar de.
Step 13:
Apna time zone, date aur time select
karke next pe click kare.
Step 14:
Aage aapko network ke bare mu puch
jayega waha pe home network select kare aur next pe click kare.
Step 15:
Welcome screen aapke samane dikhayi dega
aapne windows operating system successfully install kar le hai.
Agar aapko apna pc format karane me koi
dikkat aa rahi hai to aap apna problem niche comment me bata de aapko uska
solution jarur mil jayega.
Sir chalate chalate mere laotop off ho gaya or fir laotop ki lcd pe kuch show nahi kar raha h sirf button ki light hi jal rahi h on hone pe hm kaise formate kare laotop
ReplyDelete# Laptop On hone pe aap Operating System ki DVD se laptop format kar sakate hai. Uske liye upar diye gaye step follow kare.
ReplyDeleteSir mera laptop acer ka hai jisme saare kaam karne k baad copy file chalta or eske pure hote hi 2nd wali line 0% hi rahta hai usse aage kuch nhi hota
ReplyDelete@ Ravindra aapka question samaj me nahi aaya aap kis file ki bat kar rahe hai.
DeleteBhai mere pc ka operating system khrab ho gya hai pc me code error karke display ho rha hai mere pass ek our pc hai to mai usse Windows kaise install karu ...please pleas help me please
ReplyDelete@ Daya Kumar,
DeletePC me operating system ki files ho gayi hai to usko format karlo. Format kaise karate hai wo upar diya hai. Uske liye aapko sirf Operating system ki CD/DVD ki jarurat hogi.
Agar aapke dusare pc me operating system ki image file hai to aapko usko CD/DVD pe right karake usko bootable bana sakate hai.
sir maine apna computer khudsehi formeting kiya hai
ReplyDeleteor sir mujhe usme ms office 2013 download karke install karna hai
or sir main yeh bhi janna chahta hu ki formeting ke baad kon kon se software install kiye jate hai
@Abdil
DeleteWo aap pe depend karata hai ki aapko koun se software use karane hai, but aap ye post read karo.
ye 10 Software must install hone chahiye.
hii,
ReplyDeletebro kya mai pendrive se bhi formate kar saka hu
@Rajendra,
DeleteAap Pendrive se bhi format kar sakate hai, boo-table pen drive kaise banaye uske liye aap ye post read karo.
Thanks sir your support my PC is farmat
ReplyDeleteHello sir mere pass 8 GB ki pendrive bootable h m jb windows daalte hu to jb hm drive c Ko select krte h to whan partition k liye khta h his pr unloccated likha hota h meri c drive 48.8gb ki hai kiss trh aapne image no 8 m system reserved kaise bnau ki windows 7 install ho jaye please mujhey btaiye
ReplyDelete@Kaushal,
DeletePahale hume C drive ko format karana padega, aur wo system reserved ka partition automatic aata hai wo banane ki jarurat nahi hai.
Hello sir. Mera hp ka laptop mein Ubuntu hai . Jab mai win7 ya 8 instal karna chahta hun to.file loding hone ke baad pc ran info ka mssage show hone restart ho jata hai .please koi solution dijiye.
ReplyDelete@Hk,
DeleteYoutube Ya phir Google par jakar "How to install Windows 7 On Ubuntu" Yesa search kare, aapko solution mil jayega
sir mere laptop me windows 10 install h or mujhe windows 7 install krni h bootable dvd se. sir kya windows 7 install krne k liye mujhe puri hard disk (mera personal data) bhi format krna padega? ya bina format kiye hi windows 7 install ho jayegi?
ReplyDelete@Aman,
DeletePuri hard disk nahi sirf C Drive format karana padata hai.
Mere cimputer install now nehi araha hai. Direct startup setting a raha hai. Uske bad hard disk show nehi ho raha hai isliye install nehi kar pa raha hu.please ek solution de jiye.
ReplyDelete@Exam & Job,
DeleteAapko bootable DVD ki jarurat hogi, jo auto installer na ho. Tabhi aap install karate samay c drive format kar payenge.
Thanks sir. Actually me bootable peddrive she boot kararahahu. Harddisk show nehi ho raha hai. Once again thanks for instant reply.
ReplyDeleteSir main window7 install kar rha hu par ho nahi rha hai hu par ho nahi rha hai mera dell ka laptop hai sir
ReplyDeleteSir please bataye main kya karu
@Narendra,
DeleteUpar ki step jaisi hai waise follow kare.Boot menu ke liye DEL ya Phir F10 Key press kare.
Ye dvd kha par milegi
ReplyDelete@Dilipsinh Vaghela,
DeleteKisi bhi computer shop par mil jati hai.
windows7 formate hotay waqt computer kitne bar blink aur restart hota hai
ReplyDelete@ 1 baar hota hai.
Delete