Computer Se Related General Questions and Answers




Aaj hum baat karenge computer se related general questions aur unke answers ke bare me. Hum jab kabhi kahi interview ke liye chale jate hai tab use computer se related bhi questions puche jate hai, to ye questions aapke liye useful honge.

Computer Se Related Question and answers

Computer aaj kal har jagah par use ho raha hai. Aaj ki duniya me computer ki kya value hai hum sab janate hai. Jab hum computer se related koi job ka interview dene ke liye jate hai tab hume computer se related koi questions puche jate hai. Maine wahi basic questions aur unhe answer niche diye hai.

Computer Se Related Questions and Answers:

1. Computer Kya Hai?
Computer Ek Electronic Machine Jo User Se Input Leta Hai, Uspe Processing Karata hai, aur output devices ke jariye user ko output dete hai.
2. Input Devices?
Input devices yane jin devices se hum computer ko input provide karate hai unhe input devices kaha jata hai.
E.g. Mouse, Keyboard, Scanner




3. Output Devices?
Output devices un devices ko kaha jata hai, jin devices ke throw computer output provide karata hai.
e.g. Monitor, Printer, Sounds etc.

4. Memory Kya Hai?
Memory ka upyog computer data aur programs save karane ke liye hota hai. Memory ke different type’s hai.
Primary Memory: Ye memory temporary hoti hai is me jo data hota hai wo tab tak hi rahata hai jab tak humara computer shuru hai.
RAM: Random Access Memory
Computer jo data process kar raha hota hai wo RAM me store hota hai. Agar bijali chali jaye to wo data save nahi rahata hai, isliye isko tem
ROM: Read Only Memory
Ye memory me jo data hota hai use sirf hum read kar sakate hai. Usme hum kuch badlav nahi kar sakate.
Secondary Memory: is memory me hum jo data aur programs save karate hai wo finally save hota hai, yane hum us data ko agar aaj save kare aur 2 saal bad dekhe to wo data jaise ko taisa hoga.
e.g. Hard Disk, Pen drives, Memory Card, CD, DVD

Memory types






5. Software kya hota Hai?
Software ye ek program hota hai, jo coding, se bana hua hota hai. Ye collection hota hai, coding ka.
Software ke main 2 type’s hote hai, System software and application software.
System Software: Ye software computer ko control, manage karane ke liye banaye gaye hai.
e.g. operating system, compiler, interpreter etc.
Application Software: Ye software user ke liye banaye gaye hai. Jinaka use aam aadami karate hai, yani hum khud.
e.g. MS Office, Adobe Photoshop, Browsers.


Software kya Hai



  




6. Browser Kya Hota Hai?                           
Browser ye ek application software hai jiska use internet chalane ke liye hota hai. Agar humare computer me browser nahi hoga to hum internet nahi use kar sakate hai. Browser ke main use hota hai internet surfing.
e.g. Mozilla Firefox, Google Chrome, Internet Explorer

7. Number System Kya Hoti Hai?
Computer ko humari language (bhasha) samjah me nahi aati. Computer ko sirf binary language (0,1) ki bhasa samaj aati hai.
O,1 in number me se kisi ek number ko bit kahate hai.
8 bit - 1 byte
1024 byte – 1kb (kilobyte)
1024 kb – 1 mb (megabyte)
1024 mb – 1 Gb (gigabyte)
1024 Gb – 1 TB (Terabyte)


8. CPU Kya Hai?
CPU ko central processing unit kaha jata hai. CPU ko computer ka brain kaha jata hai, iske alwa humara computer kisi kam ka nahi. CPU computer ko manage, control, processing ka kam karata hai. CPU ke main three parta hote hai.
ALU- Arithmetic Logical Unit
Ye computer me jo addition, subtraction, multiplication or logical work karata hai.
MU- Memory Unit
Ye memory se related kam karata hai.
CU- Control Unit
Ye unit computer ke jo kam hai unko manage, control karane ka kam karata hai.




9. Operating System Kya Hai?
Definition: Operating system is a system software which provide interface between human and computer.
Operating system ek system software jo computer ki sabhi work ko manage, control karane ka kam karati hai.
e.g Windows XP, Windows 7,8,10, Unix, Linux etc.
Operating System Ke Types:
Batch Operating System
Time sharing Operating System
Distributed Operating System
Networking Operating System
Real time Operating System


10. HTML Kya Hai?
HTM:- Hypertext markup language hai jiska use webpage design aur develop karane ke liye kiya jata hai.
Html ka hindi tutorial aap yaha pe read kar sakate hai.

11. Computer Se Related Kuch Full Forms:
PDF – Portable Document Format
URL – Uniform Resource Locator
USB – Universal Serial Bus
BIOS- Basic Input Output System
CRT- Cathode Ray Tube
LCD – Liquid Crystal Display
LED- Light Emitting Diode
CD- Compact Disk
DVD- Digital Versatile Disk
CMOS- Complementary metal-oxide semiconductor
HTTP- Hypertext Transfer Protocol
TCP/IP- Transmission Control Protocol/ Internet Protocol


Agar aapko computer se related koi aur Jankari chahiye aur aapke man me koi sawal hai to niche comment me jarur bataye.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: