PC Aur Laptop Ke Liye Free antivirus Software, विंडोज 7 के लिए बेस्ट एंटीवायरस. Hello, Dosto aaj mai aapko bataunga ki apne pc ya computer ke liye free me badiya antivirus software koun se hai aur ine hum kaha se download kar sakate hai.

Aaj har kisi ke
pass computer ya laptop hai. Aur laptop ya computer use karate samay hume kuch
baato ka dyan dena padata hai, jaise computer me virus na chala aaye. Ya
computer ki speed kum no ho jaye. Agar yesa hoga to aapki jo files, softwares,
images hai wo corrupt ho sakati hai. Isliye hume apne computer ko virus,
malwares se bachana hota hai, iskeliye use hota hai antivirus software ka. Par
aaj internet 100 of antivirus hai jisme se kai free hai to kai paid hai, to
inme se kaun se antivirus softwares acche hai, yahi aaj hum isi post me
janenge.
Antivirus Install Na Ho To Kya Problem Ho Sakati Hai?
1. Pc me Virus
aa sakata hai.
2. PC bahut
slow ho jata hai, kayi files open nahi hoti hai.
3. Software tik
tarah se kam nahi karate.
4. Important
files, software’s corrupt ho sakate hai.
To ye problem
apne pc me na ho isliye pahale hi hume ek accha sa antivirus software pc me
install karana jaruri hai. Iskeliye aapke paise ya paid version lene ki koi
jarurat nahi kyon ki aaj me jin software’s ke bare me batane ja raha hu wo free
hai aur 100% virus remove karate hai.
1. AVG Free
Antivirus:
Ye ek badiya
antivirus hai, iska aapko paid aur free dono version mil jayenge. AVG PC ke
liye Windows operating system, MAC Operating system and android ke liye available
hai.
Facility:
Block Virus,
spyware and malware
Link
Protection: Isme aap Facebook, twitter par jab online honge to wo link bhi ye
scan karata hai.
Windows 7, 8,
10 in operating system pe install kar sakate hai.
2. Avira Antivirus:
Ye software
jayada logo ke liye pata nahi hai but ye bahut badiya software hai maine khud
use kiya hai. Avira bhi ek badiya free antivirus software hai. Avira windows,
mac, android aur ios in operating system ke liye available hai.
Ye ek award
winning antivirus hai. Jo ki virus, malware aur Trojans ko remove karata hai.
Facility:
Free of cost
hai.
Browser
extention bhi install kar sakate hai.
Cloud Scanning
bhi avaliable hai.
3. Forti Client Antivirus:
Forti client ek
accha antivirus hai. Ye aap pc, computer ya apne tablets pe bhi use kar sakate
hai. Ye bhi windows, mac, ios and android ke liye available hai.
Facility:
Real time antivirus
Web security
Simple to use
4. Avast Antivirus:
PC, MAC aur
android ke liye avaliable hai. Avast antivirus bhi real time antivirus software
hai.
Facility:
Virus remove
karata hai.
Browser scan
karata hai.
Password
Security
Performance
scan
5. 360 Total Internet Security:
Ye bhi ek
badiya antivirus software hai jo offline as well as online protection provide
karata hai. Real time protection deta hai.
6. Kaspersky Antivirus:
Kaspersky ek
real time protection provide karata hai. Ye virus, malware aur spyware remove
karata hai. Ye windows aur android platform ke liye available hai.
Ye to ho gayi
free antivirus ki list. Inme se aapko jo bhi accha lage wo download kare. Lekin
free antivirus software use karate samay ye baat dyan me rakhe in software ko kum
se kum weekly ya monthly update karate rahe.
Aur apne pc ko
daily scan kare taki aapka pc virus free rahe.
0 Comments: