Installing New Windows - Windows 7 Operating System Kaise Install Kare




Computer me New Operating system kaise install kare. How to install new windows, Windows 7 Installation steps. Apane laptop ya computer ko format karate hai aur usme new operating system install kare. Maine ise pahale post me bataye tha ki kaise hum apne slow pc ya laptop ka speed bada sakate hai.

Computer ya Laptop ko Format Kaise kare

Par kabhi kabhi kya ho jata hai apne laptop me bahut sare virus aate hai iski wajah se hume apna pc format karana padata hai. Computer ko format karane par humara computer fast, aur tezi se work karata hai.
Computer format karane se pahale aapko jo important data hai jo ko C drive me hai uska backup jarur le. Kyon Format karate waqt hume sirf C drive ko hi format karana hota hai. Baki drive ko hume waise hi rakhana hota hai usme humara jo data hai wo waise hi safe rehega.


Computer Format Karane Ke Liye Kin Chijo Ki Jarurat Hogi:

1. Bootable DVD / Pen Drive:
Agar aapko computer format karana hai to aapko jo operating system install karani hai uski bootable DVD ya bootable pen drive ki jarurat hogi.
Agar aapke pass yesi DVD ya Pen drive nahi hai to aap bazar se le sakate hai ya phir kisi Computer shop se bhi le sakate hai. Agar ye sab nahi karana hai to aap internet se bhi download kar sakate hai.





2. Product Key:
Isme bhi 2 tarah ki DVD milati hai  1 hoti hai Auto bootable DVD jisko product  key ki jarurat nahi hoti aur dusari hoti hai Formatable jisme hume product key ki jarurat hoti hai.


3. CD/DVD ROM:
Dvd Rom yane jisme hum CD ya DVD dalkar chalate hai wo. Laptop me to ye inbuilt hota hai par kisi ke computer me ye hota hai to kisi ke nahi. Isliye DVD Rom hona utna hi jaruri hai.
Agar aapke pass DVD Rom nahi hai to aap bootable pen drive ki madad se bhi computer format kar sakate hai.


Computer Format Karane Ke liye Di Gayi Step Follow Kare:

Step 1:
Bootable DVD ko DVD Rom me dalkar computer ya laptop ko restart kar de. Restart karne ka bad jab aapka computer phir se shuru ho jayega tab aapko blank screen me kuch is tarah ka message dikhayi dega. “Press Any Key to Boot Form DVD” Apne keyboard se Enter ka button press kare. Windows is loading files……..is tarah aapko dikhayi dega.



Dusara Option: Agar aap ko yesa message nahi aa raha to aapko apne computer ka boot sequence change karana padega. Boot sequence change karane ke liye computer ko phir se restart kare aur computer shuru hone se pahale hi keyboard se “Delete, F2, F8 ,” in me se koi ek key press kare. Kyon harek pc ka boot menu alag alag key se open hota hai.
Mere pass Dell ka laptop hai dell ka boot menu F12 key dabane se aa jata hai.
Dell Ka Boot Menu


Phir boot menu se boot sequence ko First Me Boot Form CD/DVD select kare setting ko save kare. Phir computer restart ho jayega.


Step 2:
Windows is loading files…..ka message dikhayi dega kuch seconds me aapke samane ek window aayegi waha se language aur time zone select kare maine jo niche dikhaya hai waise hi rahane de. Next par click kar de.

Language Select Kare


Step 3:
Phir Install Now Pe click kar de.

Install Now Pe click kar de


Step 4:
Phir Operating System kaun sa use karana hai wo select kare.  Agar aapke DVD me ek se jayad operating system hogi tabi ye option dikhayi dega. Jaise agar aap 32 bit ki operating system use karana chahate hai to 86 select kare.Aur agar aapko 64 bit use karani hai to 64 select kare.
Jaise maine select ki hai Windows 7 Home Premium 86. Next pe click kare.

Operating System Select Kare


Step 5:
Aapke samane dusari window khul jayegi usme aapko 2 options dikhyi denge.


Custom Pe Click Kare


1. Upgrade: Agar aapke computer me jo operating system hai aur wahi operating system aapke is DVD me hai to aap ye option select kare. Isse aapki pahali ki jo setting hai , files hai uska backup ban jayega.
2. Custom: Agar aap new operating system install karana chahate hai to custom select kare.
Mai Custom Select Karane Ko Recommend Karata Hu. Phir Next pe click kare.

  




Step 6:
Terms and condition ko accept karke next pe click kare.

Terms and condition accept kare


Step 7:
Agar aapko koi drive format karana hai to Drive Option par click kare phir niche aapko kuch new option dikhyi denge. Jis drive ko format karana hai use select karke format pe click kare.
Disk 0 Partition 1: Ye C dirve ke liye hota hai uske samane Primary dikhayi de raha hai use select kare aur next pe click kare.


Partation Select Kare


Note: Drive select karate samay dyan me rakhe ki aapko C drive par hi operating system install karani hai.

Step 8:
Installing windows ka option dikhayi dega yaha pe windows ki files ko copy hone me time lageaga. Kum se kum aapko 20-25 minutes tak wait karana hoga.  Jab ye 100% pura ho jayega to aapka computer ya laptop apne aap restart ho jayega.

100 %  complete hone tak wait kare


Step 9:
Aapke samane apane pc ke liye User Name dena hai wo windows open ho jayegi.



Aap isme apni manpasand ka koi bhi naam rakh sakate hai jaise admin, umesh-pc etc. aur next pe click kare.

User Name Dale


Step 10:
Phir password dale aur next pe click kare.

Password Dale


Step 11:
Agar aapki DVD Auto installation ki hogi to wo aapko product key nahi puchegi. Agar aapki DVD auto installation ki nahi hai to aapke DVD pe jo key hoti hai us key ko dalkar next pe click kare.


Product Key Dale



Step 12:
Aapko setting ke bare mu puch jayega use recommended setting ko select kare aur next pe clic kar de.

Recommend Setting Use Kare


Step 13:
Apna time zone, date aur time select karke next pe click kare.

Time Zone Select Kare


Step 14:
Aage aapko network ke bare mu puch jayega waha pe home network select kare aur next pe click kare.

Home Network Select kare


Step 15:
Welcome screen aapke samane dikhayi dega aapne windows operating system successfully install kar le hai.

Welcome Message Dikhayi Dega


Agar aapko apna pc format karane me koi dikkat aa rahi hai to aap apna problem niche comment me bata de aapko uska solution jarur mil jayega.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

26 comments:

  1. Sir chalate chalate mere laotop off ho gaya or fir laotop ki lcd pe kuch show nahi kar raha h sirf button ki light hi jal rahi h on hone pe hm kaise formate kare laotop

    ReplyDelete
  2. # Laptop On hone pe aap Operating System ki DVD se laptop format kar sakate hai. Uske liye upar diye gaye step follow kare.

    ReplyDelete
  3. Sir mera laptop acer ka hai jisme saare kaam karne k baad copy file chalta or eske pure hote hi 2nd wali line 0% hi rahta hai usse aage kuch nhi hota

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Ravindra aapka question samaj me nahi aaya aap kis file ki bat kar rahe hai.

      Delete
  4. Bhai mere pc ka operating system khrab ho gya hai pc me code error karke display ho rha hai mere pass ek our pc hai to mai usse Windows kaise install karu ...please pleas help me please

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Daya Kumar,

      PC me operating system ki files ho gayi hai to usko format karlo. Format kaise karate hai wo upar diya hai. Uske liye aapko sirf Operating system ki CD/DVD ki jarurat hogi.

      Agar aapke dusare pc me operating system ki image file hai to aapko usko CD/DVD pe right karake usko bootable bana sakate hai.

      Delete
  5. sir maine apna computer khudsehi formeting kiya hai
    or sir mujhe usme ms office 2013 download karke install karna hai
    or sir main yeh bhi janna chahta hu ki formeting ke baad kon kon se software install kiye jate hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Abdil
      Wo aap pe depend karata hai ki aapko koun se software use karane hai, but aap ye post read karo.

      ye 10 Software must install hone chahiye.

      Delete
  6. hii,
    bro kya mai pendrive se bhi formate kar saka hu

    ReplyDelete
  7. Thanks sir your support my PC is farmat

    ReplyDelete
  8. Hello sir mere pass 8 GB ki pendrive bootable h m jb windows daalte hu to jb hm drive c Ko select krte h to whan partition k liye khta h his pr unloccated likha hota h meri c drive 48.8gb ki hai kiss trh aapne image no 8 m system reserved kaise bnau ki windows 7 install ho jaye please mujhey btaiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Kaushal,
      Pahale hume C drive ko format karana padega, aur wo system reserved ka partition automatic aata hai wo banane ki jarurat nahi hai.

      Delete
  9. Hello sir. Mera hp ka laptop mein Ubuntu hai . Jab mai win7 ya 8 instal karna chahta hun to.file loding hone ke baad pc ran info ka mssage show hone restart ho jata hai .please koi solution dijiye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Hk,
      Youtube Ya phir Google par jakar "How to install Windows 7 On Ubuntu" Yesa search kare, aapko solution mil jayega

      Delete
  10. sir mere laptop me windows 10 install h or mujhe windows 7 install krni h bootable dvd se. sir kya windows 7 install krne k liye mujhe puri hard disk (mera personal data) bhi format krna padega? ya bina format kiye hi windows 7 install ho jayegi?

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Aman,
      Puri hard disk nahi sirf C Drive format karana padata hai.

      Delete
  11. Mere cimputer install now nehi araha hai. Direct startup setting a raha hai. Uske bad hard disk show nehi ho raha hai isliye install nehi kar pa raha hu.please ek solution de jiye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Exam & Job,
      Aapko bootable DVD ki jarurat hogi, jo auto installer na ho. Tabhi aap install karate samay c drive format kar payenge.

      Delete
  12. Thanks sir. Actually me bootable peddrive she boot kararahahu. Harddisk show nehi ho raha hai. Once again thanks for instant reply.

    ReplyDelete
  13. Sir main window7 install kar rha hu par ho nahi rha hai hu par ho nahi rha hai mera dell ka laptop hai sir
    Sir please bataye main kya karu

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Narendra,
      Upar ki step jaisi hai waise follow kare.Boot menu ke liye DEL ya Phir F10 Key press kare.

      Delete
  14. Replies
    1. @Dilipsinh Vaghela,
      Kisi bhi computer shop par mil jati hai.

      Delete
  15. windows7 formate hotay waqt computer kitne bar blink aur restart hota hai

    ReplyDelete