हिंदी में कैसे लिखे - Hindi Me Kaise Type Kare

हिंदी में कैसे लिखा जाता है, चलिए जानते हैHIndi Me Kaise Type kare, hindi me likhane ke liye kya karana hoga. Bahut sare logo ko offline Hindi typing me dikkat aati hai, unko pata nahi hota ki koun sa tool use kare. Humara keyboard English hai aur hume jayadatar Hindi typing ki jarurat hoti hai. Iske liye maine is post me Hindi typing tool ke bare me bataye hai.

Offline Hindi Typing Kaise Kare


Agar aap blogger hai aur aap apne blog post Hindi me likhana chahate hai to aapko bahut sari dikkate aati hai ki koun sa tool best hai aur koun sa nahi. Internet par aaj intne tools hai jinki madad se hum type to English me karenge lekin use Hindi me easily convert kar sakate hai.



Hindi Typing Tool:

Google Input tool:
Ye ek sabse badiya software hai isse download karane ke liye https://www.google.com/inputtools/windows/ is link pe chale jaye aapko jo jo languages chahiye use select kare aur download kare.
Isme aapko kul 22 languages milati hai. Aapko jo languages chaiye wo select karke download kare. Ye bilkul free aur offline available hai.
Isko download karane ke bad install hone me thoda time lagata hai phir is keyboard ko active karane ke liye control panel me jake


Hindi Keyboard Add Kare


Contorl Panel -> Change keyboard or Other Input Methods -> Keyboards -> Add -> Hindi (Google Input Tool)
Isko add karale. Bad me niche task bar pe EN pe click kare aur waha se HI Hindi (India) Select Kare.


Taskbar se Hindi Select Kare


Ab aapko jo bhi type karana hai wo English me type kare e.g mera to ye niche image me diya hai waise dikhayi dega.

Example Yesa Dikhega





Google Input Tools Ke Feature:
1. Offline available hai.
2. Bilkul free aur easy hai.
3. Koi bhi use kar sakate hai iske liye hume Hindi keyboard ki malumat ki koi jarurat nahi hai.
4. Aapko words se related suggestion provide karata hai.

Offline Hindi Typing Ke Liye


Step 1:
Is link pe jake aapke configuration ke anusar software download karle.


Step 2:
Aapne jo file download ki hai wo zip format mai hogi usse pahale extract kar le. Extract karne ke liye aapko winrar software ki jarurat hogi.

Step 3:
Extract karane ke bad software ko install kare.




Step 4:
Software install karane ke bad control panel-> Change keyboard or Other Input Methods pe click kare.

Step 5:
Uske bad change keyboard option pe click kare.

Step 6:
Add pe click kare aur Hindi keyboard add karle. Uske bad apply and Ok pe click kare.

Step 7:
Ab aapko typing start karane ke liye taskbar pe jo EN dikh raha hai uspe click karana hai. Aur waha pe (HI) Hindi ko select karana hai.



Ab aapko jo chaiye wo aap type kar sakate hai. Waha pe aapko sirf Hindi transliteration pe click karana hai. Ab jo bhi type karenge for e.g. mujhe to wo मुझे dikhayi dega.
Mere hisaab se agar aap google input tool ko use karenge to aapko kisi aur Hindi typing tool ki jarurat nahi hogi.
Agar kisi step me koi problem aa rahi ho to comment me jarur bataye. Aapko ye post kaise lagi comment me wo bhi jarur bataye. 
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: