Paytm Payment Bank-Paytm पेमेंट बैंक क्या है?

Paytm wallet ab nahi raha ab wo bana gaya hai, paytm payment bank. Paytm Payment bank kya hai?
Agar aap bhi paytm user hai to aapko is post ko details me read karana hoga, taki future me aapko koi problem ko face na karana pade.

Paytm बन गया Paytm Payment Bank मिलेंगे कई फायदे

Kayi friends se aapko ye sunane ko mila hoga ki paytm band hone wala hai, aur usme jo rupay hai, wo bhi chalge jayenge. To yesa kuch bhi nahi hai, is post ko read karane ke bad aapko puri sacchayi samaj me aajayegi.


                           Paytm Ek Indian Company Hai Jiske CEO “Vijay Shekar Sharma” Hai. Paytm ab India ka sabse popular e-wallet hai. Note bandi ke bad iska bahut use hua, lekin server problem, website par load aane ki wajah se kuch logo ko kayi pareshniya bhi hui. Lekin ab paytm jo hai, wo paytm na rahakar Paytm Payment Bank hone ja raha hai.

Paytm Payment Bank:

RBI ke approval ke bad ab paytm wallet, paytm payment bank me transfer ho jayenge.
Isse pahale humara paytm wallet One97 communication ke jariye operator hota tha. Lekin ab Paytm account Paytm Payment Bank Limited (PPBL) ke jariye operate hoga.


Isse humare paytm wallet/account par kuch bhi change nahi hoga. Na hi hume kuch karana hai. Humara Login id, Password kuch bhi change nahi hoga.
Lekin hume ab paytm se aur services milegi. Jaise Saving Account, Check Book, Debit Card. Aur humare paytm wallet me jo bhi rakam jama hogi uspar hume byaj bhi milega.

Agar aap chahe to aapke paytm account me abhi to bhi rakam hai, wo kisi bhi bank account me transfer kar sakate hai, jiske liye aapko koi charge nahi lagega.
Lekin ye transfer aapko 31 jan 2017 se pahale karana hoga.
31 Jan 2017 ke bad paytm payment bank start ho jayega.
In short Paytm waise ko waisa hi rahega but ab wo ek bank ki tarah work karega. Usme hum apne family ka account open kar sakate hai. Aur usme saving bhi kar sakate hai.


Paytm Payment Bank Se Jude Kuch FAQ’S:

1. Kya mera account direct paytm payment bank me covert ho jayega.
Ans: Nahi, jab paytm payment bank start ho jayega, tab aapke paytm account me iske liye alag se option diya jayega.

2. Mere wallet me jo paise hai, uska kya hoga?
Ans: Aapke account me jo bhi rakam jama hai, wo waise hi rahegi, Agar aap chahte to usko bank account me bhi transfer kar sakate hai.
Agar aapka paytm wallet pichale 6 months me use kiya gaya hai, to aapka paytm wallet automatic paytm payment bank me transfer ho jayega.

3. Jab Paytm Payment bank start ho jayega to kya paytm wallet bank ho jayega.
Ans: Nahi, yesa nahi hai, jin logo ko paytm wallet use karana hai, wo pahale ki tarah use kar sakate hai.

4. Agar mujhe paytm wallet se paytm payment bank me transfer nahi hona hai.
Ans: agar aap chahte hai ki aapka paytm wallet , paytm payment bank me transfer na ho, to aap paytm se contact kare.


Aap care@paytm.com ya phir paytm.com/care is par jakar contact kar sakate hai.

5. Kya mai paytm wallet close kar sakata hu.
Ans: Yes, agar aap chate hai, ki aapka paytm wallet close karana hai, to aap kar sakate hai.

To is tarah ab paytm wallet, paytm payment bank hone ja raha hai, jisse user ko aur bhi facility milegi.
Agar aapka koi sawal ho to aap hume comment me puch sakate hai.
Aur kisi technical help ke aap paytm customer care se contact kar sakate hai.


Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: