YouTube Videos Ko Blog Website Me Kaise Add Kare

Hello Dosto, Agar aap ek youtuber hai aur agar aapke pass apna blog, website hai aur usme aap apne youtube video ko add karana chahate hai to is post ko read kariye aur chutkiyo me apne kisi bhi Youtube video ko Blog, Website me add, embed Kar Sakate Hai.

YouTube Videos Ko Blog Website Me Kaise Add Kare

Youtube Videos Ko Blog, Website Me Kyon Add Kare?

First sawal humare man me aata hai wo hai ki video ko blog me add karane ki jarurat kya hai? all ready youtube par video publish kardi hai to iski kya jarurat hai.


To chaliye pahale iske bare me charcha karate hai, man lijiye aapke youtube channel par 1000 subscriber hai aur aapne youtube par video upload kardi , publish kardi. Uska notification sirf 1000 subscriber tak hi jayega aur unme se kuch hi log aapke video ko dekhane ko aayenge.

To dusari aur aapki website hai aapki website par daily 4000-5000 page views hote hai, aur waha par aapne video add kardi. To un 4k-5k user me se kum se kum 1000-1500 to us video ko dekh hi lenge to ab aap samaj gaye honge ki video ko blog me add karana kyon jaruri hai.
Isse aapko double views milenge sath me blog se aapka video jaldi index ho jayega.

How to add/Embed Youtube video in Blogger:

Blog me video add karane ka ek aur fayada bhi hai ki kuch yese tutorial, post hoti hai jinko hum text me likhkar samaja nahi sakate hai. Isliye us post se related video banakar hum usme add kar sakate hai jisse humare user ko bhi easily understand ho jaye.


Humari post user friendly ban jayegi, aur umse acche se keyword add karane par search engine me jaldi se index bhi ho jayegi.

Isse humare blog aur YouTube channel dono ke liye fayada hota hai aur humari earning increase ho jati hai.

Step 1:
Sabse pahale apna youtube channel open karle.

Step 2:
Ab aap jis bhi video ko blog me add karana chahate hai usko open karle. Video play kare.


Step 3:
Video ke niche Share option pe click kare.

Share Video


Step 4:
Uske bad embed par click karde.

Click on Embed


Step 5:
Embed par click karte hi aapko ek code dikhayi dega us code ko copy karle.

Step 6:
Apna blogger dashboard open karle. Jis post me youtube video ko add karana chahate hai us post ko edit html mode me open karle.Code ko ab HTML view me paste karde.


Paste code on HTML View



Step 7:
Aur Compose mode par click kare ab aapko video waha show hoga. Post puri hone ke bad publish karde.


Compose Mode


Agar aap video ki height, width ko change karana chahate hai to aap us code me change kar ke kar sakate hai.


Aur agar aap chahate hai ki aapka video sidebar me add karana hai to uske liye aap simple HTML/Java Script widget add karake usme code paste kar sakate hai. Aapko jaha par bhi wo video show karana hai sirf waha pe HTML/Java Script widget add karani hai.

To is prakar hum simple steps ko follow karake apne kisi bhi video ko apne blog post me add kar sakate hai.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: