Facebook Account Permanently delete Kaise Kare

Facebook Account Delete Kaise Kare, Facebook account humesha ke liye delete kaise karate hai. Facebook social networking site hai iska limited use karana hi sabke liye accha hai. Lekin kayi logo ki iski aadat lag jati hai wo ganto ganto tak facebook par apna time bitatate hai.

Facebook Account Permanently delete

Agar aapko bhi yesi lat lag gayi hai aur aap isse chutkara pana chahate hai to iska best way hai Facebook account ko permanently delete kar dena.


Ya phir aap kisi aur wajah se facebook account ko permanently delete karana chahate hai to aapko niche di gayi steps ko one by one follow karana hoga.

How to Delete Facebook Account Permanently:

Note: Account delete karane se pahale aapka jo bhi data (images, videos) facebook par available hai uska backup lena chahate hai to le le.

Step 1:
Sabse pahale apne facebook account me log in karle.


Step 2:
Ab niche diye hue delete my facebook account button par click karde.

Delete click on link

Step 3:
Aapke samane kuch niche ki tarah ke box hoga usme delete my account par click kare.
delete my acc

Step 4:
Uske bad ek pop up open hoga jisme hume apna facebook account ka password enter karana hoga uske niche Captcha code enter kare aur phir OK par click karde.

enter password

Step 5:
Phir ek pop up open hoga usme aapko bataya jayega ki aapka account next 14 days me delete ho jayega usse pahale aap agar log in karate hai to phir se activate ho jayega. Uske niche OK Par click kare.

click on ok


Step 6:
Phir se ek baar confirm deletion par click karde. Ab aapka account permanently delete ho gaya hai.

final

Facebook Account Delete Karane Ke Bad Kya Hoga?

Facebook deactivation aur deletion alag alag hai isme aap confuse mat hohiye.
Jab hum fb account delete karate hai to ukse bad aapke account ka kya hoga?

1. Facebook account deletion ke request ke bad humara account 14 day to 90 days ke bich me delete ho jayega iske bich me agar aap login karate hai to phir se activate ho jayega.

2. Jab aapka facebook account delete ho jayega to aap usko access nahi kar sakate.


3. Deletion request send karane ke bad 90 days lag sakate hai facebook ke backup server par ka data delete hone me. Lekin aap is information ko access nahi kar sakate.

4. Facebook server par log data store rahega. Taki future me koi problem ho to is info ka use kiya jata hai.

Final deletion ke bad us account ko kabhi bhi access nahi kar sakate hai.

Post se related koi problem ho to comment me puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. Account delete hone ke baad usi phone number se dusra account bana sakta hun kya?

    ReplyDelete
    Replies
    1. @mohibur,
      Aapka account full delete hone ke bad dobara us number se account bana sakate hai.

      Delete