C Programming For Beginner, Introduction


C Programming For Beginner, C Language kya hai, C Language ka introduction hindi me, history of C, ye sab baate hum is post me janenge. C language kisane invent ki ye bhi aapko is post me read karane ko milaga.

Introduction Of C Language

Dosto jin logo ko programming language sikhana hai unke liye ye ek accha awasar hai kyon ki kayi log hai jine programming language sikhana hai par English week hone ke karan wo jara hichakate hai. To unke liye maine hindi me programming language ka tutorial start kiya hai aapko yaha pe sabhi basic sikhane ko milega.




History Of C:
C programming language hai jiska invention Dennis Ritchie ne AT & T Bell Labs me USA me kiya tha. C Language inti purani hai phir bhi aaj ye bahut popular hai.
C language banane ke liye kafi sari languages ka bhi use kiya gaya jaise BPCL, B.
BPCL, B yesi kuch languages pahale se hi maujud thi par inme kuch limitation the. Lekin C language me kafi tarah ke data types hai.

Importance Of C:
C language ka kya importance hai.
1. C language ka use operating system develope karane ke liye hota hai.
e.g. Unix, Linux aur Windows etc.
2. C programming language kea ur bhi kuch fayade hai, jine banane ke liye C ka use hota hai.
Jaise Text editors, Compilers, Data bases etc.
3. C language ka use Game create karane ke liye hota hai.
4. System software as well as application software dono bana sakate hai.



Charactertics of C:
C programming isliye aaj bhi itni popular hi kyon ki
1. Ye easy aur simple hai sikhane ke liye
2. Structured language hai.
3. Iske program kisi bhi platform par easily execute kar sakate hai. Chahe wo windows ho, Linux ya Unix ho.

C Program:
C language ek structured programming language hai jiska code 4-5 lines se lekar 1000 lines tak ka ho sakata hai. Program ki coding aap kis prakar ka software bana rahe hai uspe depend hai.

C Compiler:
Hume C programming sikhane ke liye compiler ki jaruarat hoti hai. Jo ek software hota hai.
Compiler ka kam ye hota hai ki wo high level language ko machine language me convert karata hai. Hum jab program likhate hai usse sirf hum read kar sakate hai lekin computer usse samaj nahi sakata compiler ka yahi kam hota hai ki is code ko convert karake machine level language me karata hai.
C program ka extension ‘.c’ hota hai.
Internet par free compiler milenge jiski madad se hum C program ko execute kar sakate hai.


Mai apni aane wali post me aapko bataunga ki kaise hum c compiler ko windows 7 par install kar sakate hai.

Structure of C Programming:
C program wirte karane ke liye ek structure ko follow karana padata hai. C program ka structure kuch niche ki tarah hota hai.
   1.  Documentation section
   2.  Link section
   3.  Definition section
   4.  Global declaration section
   5.  Main function section
   6.  Subprogram section

1. Documentation section: Isko optinally use kiya jata hai iska hona na hona kuch farak nahi padata hai. Isme aap program ka naam, author ka naam aur other details isme likhane hote hai.
e.g. /* program for addition */

2. Link Section: Isme header files hoti hai jo compiler to library files se connect karata hai.
e.g.
# include <stdio.h>
#include <conio.h>

3. Definition Section:
Isme sabhi constant declare karane hote hai.

e.g. # define pi 3.14
4. Global declaration:
Agar aapko koi variable ek se jayada function me use karane hai to aap usko globally declare kar sakate hai.



5. Main Function:
 Aapka jo main program hota hai wo yaha pe hota hai. isme different variable declaration aate hai. sabhi program ka code aata hai.

6. Sub program Section:
Isme all user defined function hote hai to main function me call kiye jate hai.
Ye simple C program ka structure hai jab aap koi program execute karoge to apne aap aapke samaj me ye aa jayega.

Aasha karata hu ki aapko ye post acchi lagi hogi agar aapko iske related koi problem ho to comment me jarur bataye.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. sir loop k bare me kuch batao ge

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Zabi,
      Loop, Array, Conditional Statement Iske bare me post jald hi update kar denge.

      Delete