Blog Ka Backup Kaise Le- ब्लॉग का बैकअप कैसे करे, Blogspot blog ka complete backup kaise le. Blog ke post, comment, image ka backup. Hello, dosto aapne
blog to bana liya lekin aap ye nahi janate hoge ki apne blog ka backup
kaise liya jaye? To chaliye aaj hum janate hai ki apne blog ka backup kaise
liya jata hai aur iska fayda kya hai?
Blog ka Backup Lene Kya Jarurat Hai?
Bahut Se New blogger ke man me ye bat aati hogi ki humara
blog to online hai hum jab chahe use dekh sakate hai uska backup lene ki kya
jarurat hai.
Blogger ye ek google ki free service hai ye to aapko pata
hi hai. Lekin kya aap ye janate hai ki agar aap google ki policies ke khilap
agar koi post apne blog pe dalte hai to google bina kisi notice ke apke blog ko
delete kar dega.
Aur aapki ki gayi sari mehanat pani me chali jayegi. To
isliye hume aapne blog ka backup lena hota hai.
Aur dusari ek wajah hai jab hum apni blog template ko edit
karte hai aur humse galat coding ho jati hai tab hum apne blog ki backup se use
restore kar ke tik kar sakate hai. Agar coding me kuch bhi gadbad ho jaye to
hum use pahale jaisa kar sakte hai. Bahut se new blooger yahi galati kar dete hai wo blog ka backup nahi lete aur template edit kar dete hai.
Blog Ka backup Kaise Le?
Aapko ye humesha yad rakhana hai jab bhi aap apne blog ki
template me koi change karna chate hai use pahale apne blog ka backup lena na
bhule.
Step 1: Blogger ki dashboard pe chale jaye.
Step 2: Template Pe click
kare
Step 3: Aage Backup/ Restore pe click kar de
Step 4: Download Full Template Pe click kar de.
Ab apke pass apne blog ka pura backup hai jaise sabhi
post, images, comments etc.
Also Read:
Blog Ke backup ko restore kaise kare Aur New Template ko Upload kaise kare?
Man Lejiye ki aapse template edit karte waqt coding me koi
galati ho gayi aur aapne pahali hi blog ka backup le rakha hai to use restore
karne ke liye yane pahale jaisa banane ke liye niche di gayi step follow kare.
Step 1: Blogger ki dashboard pe chale jaye.
Step 2: Template Pe click
kare
Step 3: Backup/ Restore pe click kare
Step 4: Apne computer se backup li gayi .xml ki file ko
upload kar de.
New Template Kaise Upload Kare?
Aur agar aap koi nayi template upload karna chahate hai to
bhi aapko upar di gayi steps hi follow karni hai.
Note: Ye dyan me rakhe ki jo template hoti uska format by
default .xml hota hai wo ek xml file hoti hai.
Aasha karta hu ki aapko meri ye post acchi lagi hogi aur
ye aapke kam aayi hogi. Agar aapko upar di gayi kisi bhi step me koi problem ho
to comment karna na bhule.
Aur aap bhi hamare sath apni post share kar sakte hai guest posting ke
jariye.
0 Comments: