Blog Post Social Media Pe Automatically Share Kare . Social media ka kitna
fayda hai blog ki traffic badane me. Social media se aap apne blog ke liye
quality backlinks la sakate hai.
Mai aaj is post mai aapko ye batane wala hu ki aap
facebook, twitter pe automatically blog post ko kaise share kar sakate hai.
Jab aap blog post pulish kar dete hai tab aapko twitter,
facebook pe alag alag se wahi post share karni padati hai. Herek post ko aap
share kar ke pareshan ho jate hai.
Blog post ko Automatically kaise share kare?
Dlvr.it ek site hai jiski madat se aap apne blog ki auto
posting facebook, twitter pe kar sakate hai.
Dlvr.it ki kuch Khasiyat:
Dlvr bilkul free hai. Free me aap apne kisi bhi 2 account
pe auto posting kar sakte hai. Agar aapko 2 se Jayda social media account pe
posting karni hai to aapko iska paid version lena hoga. Jiski hume koi jarurat
nahi kyon ki blog me inbuilt google+ pe auto posting ho jati hai aur yaha se
hum facebook aur twitter pe auto post kar sakate hai.
Aap apne post ki gayi URL ka pura overview dekha sakte hai
ki kitne user ne visit ki, kab visit di.
Agar aap kisi post ko schedule kar ke post karna chahate
hai to wo bhi kar sakate hai.
Also Read :
1. Dlvr.it
pe jaye aur sign up click kar de apna email id aur password dalkar sign up pe
click kar de.
2. Uske
bad aapko ek verification link bheji jayegi email id pe. Aapko apna email id
confirm karna hoga
3. Fir
dlvr pe jakar email id aur password dale aur go pe click kar de
4. Ab
aap jis site ya blog ki auto posting karna chate hai us site ka url dale jaise www.hindimeearn.com Uske bad niche aapko apni site ka RSS url
select karna hai.
5. Aapko
age kuch setting karni hogi jaise new items me share immediately niche first
post me – post when a new item is published aur continue pe click kar de.
6. Age
Add pe click kar de waha se aapko apna facebook, ya twitter select karna hai
jispar aapko post karni hai.
Facebook select karne ke bad app facebook
ki site pe chale jayenge. facebook ki login id se login hokar waha se apna
facebook page select kar le.
7. Same
yai se hi twitter ko bhi karna hai. Add pe click kar phir aapke samne dusari
pop up window khul jayegi waha se twitter select kar le.
Aap twitter ki site pe chale jayenge.
Twitter ka user name aur password dalke authorized aap pe click kar de.
Ab aap jab bhi koi new blog post karenge
to wo automatically aapke facebook aur twitter page pe post ho jayegi.
Aasha karta hu ki aapko meri ye post
acchi lagi hogi agar upar di gayi kisi bhi step me aapko problem ho to comment
karna na bhule.
nice this is useful for us , thanks for sharing us
ReplyDelete