Slow Computer/Laptop Ko Fast Kaise Kare, स्लो कंप्यूटर को फ़ास्ट करने की ट्रिक. कंप्यूटर की स्पीड कैसे बढाए. Hello, dosto aaj hum bat karane wale hai agar aapka windows pc slow
ho jaye to uski speed kaise badayi jaye.
Kabhi-kabhi kya ho jata hai ki humara pc ya laptop bahut hi slow ho
jata hai. Uski kam karane ki speed kum ho jati hai. Jab aap pc shuru ya band
karate hai to wo bahut time leta hai. Song, data copy karane me bahut time
lagata hai. To chaliye aaj hum janate hai ki apne pc ki speed kaise badayi
jaye.
Nice Di Gayi Step Follow Kare PC Ko Speed Up Karane Ke Liye:
Tip 1:
C cleaner ye ek bahut hi popular software hai, jo ki temporary
files removes karata hai. Aur itna hi nahi internet explorer, mozilla firefox,
google chrome in sab browser ki cookies, temporary files ko bhi delete karata
hai.
link pe jaye aur download kar le. C cleaner ke basic aur
professional version hote hai. Aap basic free me use kar sakate hai.
C cleaner install karne ke bad run cleaner pe click kare wo aapke
pe me se temperory files ko remove kar dega jiki wajah aapka pc fast ho jayega.
C cleaner registry bhi clean karata hai aur uske problem ko solve
karta hai. Aap c cleaner ki madad se program bhi uninstall kar sakate hai.
Tip 2:
Aapka pc slow hone ye ek karan hota hai. Aapke pc me bahut sare
application install hote hai. Jab ki isme se kafi program ko aap roz nahi use
karate isliye jo program aap regularly use nahi karate use uninstall kar de.
Uninstall karane ke liye Start => Control Panel => Program
and Feature
Yaha pe aapko sare install program ki list dikhayi degi usme se jo
program kam ke nahi hai use install kare.
Tip 3:
Jab aapka pc shuru ho jata hai tab aapki operating system ko load
hone me time lagata hai iska karan ho hai windows=----- operating system ke
sath shuru hone wale program jise kaha jata hai startup programs.
Hume speed badane ke liye jo kam ko programs nahi hote hai unhe
disable karana padata hai.
Disable karane ke liye apne keword pe jo windows+R ko ek sath
dabana hai. Uske bad Run ki ek choti windows ope ho jayegi usme ‘msconfig’ type
kar ke enter daba de.
Aapke samane ek aur system configuration name ki window open ho
jayegi waha se start up click kare. Aur jis program ko aap disable karana
chahate hai use tick mark hata de aur ok kare.
Tip 4:
Temporary files ko delete karane se bhi apke aapka pc fast working
karata hai. Temporary files ko delete karane ke liye, aapko ‘Windows+R’ dabana
hai. Phir run me %temp% ye command dal ke enter kare. Aapke samane windows open
ho jayegi usme se sabhi files select karake delete kar de.
Tip 5:
Prefetch files wo files hoti hai jiska use hamari operating system
karti hai. Par kam hone ke bad in files koi jarurat nahi rahati isliye 15-20
din me aap ye files delete kare.
Prefetch files ko delete karane ke liye, aapko ‘Windows+R’ dabana
hai. Phir run me prefetch ye command dal ke enter kare. Aapke samane windows
open ho jayegi usme se sabhi files select karake delete kar de.
Tip 6:
Disk cleanup ye ek system tool hai jo aapke pc me inbuilt hota hai.
Aapko 15-20 din me disk clean up bhi perform karana hai jise aapka pc fastly
work karta hai.
Disk clean up karane ke liye
Go to Start -> All programs ->Accessories
-> System tools ->Disk cleanup
Waha se aapna drive select kare aur ok
pe click kar de. Ise thoda time legega. Ye aapke drive me se temperory files,
system errors, dumps files,old download data ko remove kar dega.
Tip 7:
Jab aap kisi files ko pc me save karte hai to wo file humari memory
me kabhi par bhi store ho jati hai. Sequentially store nahi hoti agar hum disk
ko defragement karte hai to wo files 1 sequence se store ho jayegi aur files ke
bich me ka jo anter hota hai wo bhi remove ho jata hai.
Ye bhi aapke pc me inbuilt option hota hai.
Disk Defragementation karane ke liye.
Go to Start -> All programs ->Accessories -> System tools
-> dfrgui waha se apna drive select kare ke defragement disk pe click kare
ya bhi kafi time leta hai.
Tip 8:
Sabse important tip aapke pc me antivirus software install hona
jaruri hai. Agar aapke pc me antivirus software nahi to ye sabse bada karan hai
aapka pc slow ho janeka. Antivirus na hone ke karan aapke pc me virus chale
jate hai. Aur aapka pc hang ho jata hai, slow work karane lagata hai.
Mai aapko recommend karta hu ki agar aap paid version nahi le
sakate to internet pe bahut se free antivirus software maujad hi jo ki 99% tak
aapke pc me se virus remove karate hai.
Dosto Agar aap ye 8 steps ka palan karate hai to aapke pc 100%
pahale se Jayda fast working karega. Mai apne laptop ke liye bhi yahi tips use
karata hu. Aur aasha hai ki aapko meri ye post acchi lagi hogi. Agar koi bhi
problem ho to niche comment karana na bhule.
No Battery Is Detected, yeh kaise khatam hoga? Pehle mera laptop battery pe chalta tha par ab sirf light pe.
ReplyDelete@Ashraf,
DeleteShayad aapke laptop ki battery kharab ho chuki hai.