Professional ईमेल आईडी कैसे बनाये, Domain email id Kaise Banaye,Website Ke Liye Professional Custom Email Address Kaise Banaye. Hello, Dosto Jab bhi site banate hai tab bahut se new user
hote hai unhe custom email chahiye hota hai jo unki site ke naam ke sath ho.
Jaise umesh@hindimeearn.com aaj hum isi ke baar me bat
karenge, ki aisa email id kaise banate hai.
Professional email banane ke liye aapke pass top level
domain hona jaruri hai. Jaise .in, .com, etc.
Method 1: Professional email id banane ke liye aap ko paise kharch
karne padate hai. Jab aap domain karid rahe hote hai whai se aapko professional
email bhi mil jata hai lekin uske alag se charge lagate hai. Aap kisi bhi
domain bechane wali site se ye karid sakate hai. Jaise godaddy.com
Method 2: Aap bina kharch kiye bhi professional mail bana sakate hai
zoho mail ki madad se.
Free me professional mail kaise banaye?
Step 1: Apna Domain Add Kar Le
2. Apni
site ka address dale aur add domain pe click kare.
3. Uske
bad sign up ka form apke samne ayega.
Usme paka
naam, apna email address dale jo aapko chahiye jaise admin @ hindimeearn.com,
password dale aur contact email me apne koi bhi email id dal de jaispar aapko
ek verification link aayegi.
4. Aapko
ek email aayega zoho ki team ki taraf se use aapko confirm karna hoga.
5. Steup
hindimeearn.com (yaha par aapki site ka naam dikhayi dega) in Zoho pe click kar
de.
6. Uske
bad aap zoho mail ki dashboard pe chale jayenge. Waha par verify domain pe
click kar de.
7. Waha
pe aapko 3 methods dikhayi degi CName, Txt Method, Html Method.
Aur
aage se domain provider select kar le mai yaha se godaddy select kar raha hu. Mai
yaha pe TxtMethod use kar raha hu.
Also Read :
Step 2: Domain Verify Kar Le
Aapne
domain jaha se kharida hai use site pe chale jaye mai godaddy use kar raha hu.
Domain
Setting me chale jaye. Waha DNS Zone File me chale jaye aur add record pe click
kare.
Waha
Se Niche di gayi record dale Kare:
Record
Type : TXT
Host
: @
Txt
Value : Zoho-verification=abc verify.zoho.com (Ye aapko copy karna hai zoho
mail se )
Record
Add karne ke bad Zoho mail me niche Verify By Txt Pe Click kar de.
Step 3: MX
Record Add Kar Le
Site verify karne ke bad aap
administrator ban jayenge. Lekin aapko mx record karna padega warna aap mail
send ya receive nahi kar sakenge.
Apak user name dalke jaise support aur create account pe click kar
de.
Next- Next Karte jaye jab tak
mx record ka page nahi aata. Uske Bad appke samne kuch is tarah ke mx record
honge.
Host Name HOST Priorities
MX.ZOHOMAIL.COM @ 10
MX2.ZOHOMAIL.COM @ 20
Apne domain ki site pe chale
jaye Domain Setting me chale jaye. Waha DNS Zone File me chale jaye aur add
record pe click kare.
Waha pe niche ke record dal
de.
Reocord Type : MX (mail Exchanger)
Host Name : MX.ZOHOMAIL.COM
Host : @
Priorities : 10
Aur finish pe click kar de
Uske Bad yahi step dobara kar le aur usme niche ke record dal de.
Reocord Type : MX (mail Exchanger)
Host Name : MX2.ZOHOMAIL.COM
Host: @
Priorities: 20
Finish pe click kar de.
Apka professional email ready
hai use karne ke liye https://mail.zoho.com/
is link pe chale jaye aapna banaya email aur password dal ke sign in ho jaye.
Agar aapko upar di gayi kisi
bhi step me koi problem ho to comment karna na bhule.
sir suraj@hindimenotes.com me mail send nai ho pa rha rahi plz sir ji aap ek bar msg send karke dekho deleviry report me msg send nai regected bata rha hai
ReplyDelete@ Suraj,
DeleteAapne jo MX record add kiye hai, isko ek bar dobara check kare.
UMESH JI, AGR BAAD ME HOSTING LETE HAI TO KYA YE EMAIL ACCOUNT VAHA TRANSFER HO JAYEGA.AUR IS ACCOUNT ME SAVE SARE EMAIL BHI TRANSFER HO JAYENGE KYA
ReplyDelete@Girdhari,
DeleteZoho Mail ke FAQ's Check kare https://www.zoho.com/mail/faq.html
ye permanent ke liye he ya badme purchase karna padta hai
ReplyDelete@Vineet,
DeletePermanently Hai.