Aaj hum janege ki computer ya laptop ki short cut keys kya hoti hai. Aur iska use kyon karana chahiye.
Computer Short Cut Keys:
Aaj har kisi ke
pass laptop ya computer to hai. Aur aap bahut sare kam apne computer ya pc par
karate rahate hai, par kya kabhi apne kam karate waqt short cut keys ka use
kiya hai ? nahi to karke dekhe.
Shortcut keys
ka use karane se humara kafi time save ho jata hai aur hume kam karate waqt bor
bhi nahi hota.
Computer Ki Basic Short Cut Keys:
Ye jo niche
list di gayi ye wo short cut keys hai jo har kisi ko malum honi chahiye:
1. Ctrl + C
(Copy):
Kisi bhi text
ko select karke Ctrl+C dabane se apka text copy ho jayega. Ye short cut key
kisi bhi application pe use hoti hai.
2. Ctrl + V
(Paste):
Agar kisi text
ko copy kiya hai to iske jariye aap paste kar sakate hai
3. Ctrl + A
(Select All):
Agar sabhi text
ya image ya kisi bhi file ko select karana chahate hai to is shortcut keys se
aap select kar sakate hai.
4. Ctrl + S
(Save):
Agar aap
computer par kam kare ho aur tabhi bijali chale jaye to aapka sara work bekar
chala jayega iske liye file ko save karana jaruri hota hai. File par kam karate
samay 2-3 minute me Ctrl+S dabate rahe ise aapki file save ho jati hai.
5. Windows + D
(Minimize All Windows):
Agar aap ek
sath kam kar rahe sabi windows ko minimize karana chahate hai to phir is
shortcut key ka use kare.
Aur maximize
karane ke liye phir se yahi key dabaye.
6. Windows +
E (My Computer):
Is shortcut ke
madad se aap apne computer ki dirve easily access kar sakate hai.
7. Ctrl + PrntScr
(Screen Capture)
Agar aap
blogger hai to aapko kayi jagah pe screen capture karani padati hai to phir is shortcut
ko ka use karke aap screen capture kar sakate hai. Phir paint, ya phir
photoshop open karake useme paste kar de. Aur image ko edit karke save kar de.
8. Window + L(Lock
Screen)
Apne pc ya
laptop ko lock karane ke liye is key ka use hota hai.
9. Ctrl + Z
(Undo):
Is shortcut key
ke madad se aap ek step backword yane piche aasakate hai. Agar aap se koi
galati ho jaye to phir aap use galati ko sudhar sakate hai is shortcut key ki
madad se.
10. Ctrl +
P(Print):
Agar aapko kisi
chiz ki print out leni hai to is shortcut key ki madad se aap le sakate hai.
11. Ctrl + Alt
+ Del (Task Manager)
Ye shortcut key
sabse jayda important hai kyon ki agar aapka pc hang ho jaye to phir aap task
manager ki madad se aap use solve kar sakate hai. Task manager ko open kare aur
jo program work nahi kar raha ya hang ho raha hai use aap yaha se close kar
sakate hai.
Ye to ho gayi
general use hone wali shortcut key ab dekhate hai ki jab hum internet use
karate hai tab konsi keys use karate hai.
Internet shortcut Keys:
1. Alt + Home
(Homepage)
Is key ki madad
se aap easily homepage par jayenge.
2. Ctrl + Enter
(open webpage without .com)
Is key ki madad
se aap koi bhi webpage without .com dale bina open kar sakate hai. jaise mujhe
meri site open karani hai to phir mai hindimeearn itna dalkakar is shortcut ki
ka use karunga.
3. Ctrl + T
(New Tab)
Agar aap apne
browser me new tab open karana chahate hai to phir is key ka use kare.
4. Ctrl + K
(Duplicate Tab)
Agar aap kisi
tab ki duplicate tab open karana chahate hai to is key ka use kare.
5. Ctrl + W (close
current tab)
Browser me tab
close karani hai to is key ka use kare.
6. Ctrl + D (Bookmark
Website)
Agar aapko koi
website haz roz lagati hai to phi aap use bookmark me save kar sakate hai is
key ka use karake.
7. Ctrl + H (History):
Browser ki history
open karane ke liye is key ka use hota hai.
8. F5 (Reload
Current Webpage):
Kisi page ko reload
karana hai to phir is key ka use kare.
9. F11 (Full
Page)
Agar aap
webpage ko full view me dekhana chahate hai to f11 key ka use kare.
To is tarah in
basic shortcut keys ka use karake aap apna kam aasani se kar sakate hai aur
bahut sara time save kar sakate hai. Agar aapko koi shortcut key ki jarurat
hogi ti niche comment karana na bhule.
good
ReplyDelete