Hello, Dosto
html ke hindi tutorial me aapka phir se swagat hai.Aaj hum janengi html me
hyperlinks kya hoti hai. Iska use hum kaise kar sakate hai.
Hyperlinks Kya Hoti Hai?
Pahale to hume
ye samajana hai ki hyperlinks kise kaha jata hai. Hyperlinks wo links hoti hai
jinpar agar hum click kar de to dusari koi link ya site open ho jati hai.
Hyperlinks ka upyog different document ko link karane ke liye kiya jata hai.
Jab bhi hum koi site banate hai to hume us site me dusare webpages ki link deni
padati hai tab hume hyperlinks ka use karana hota hai.
Hyperlinks Ka Syntax:

Text
Eg ke taur par
dekhe:
Meri Website
HindiMeEarn
Isme href ye ek
attribute hai jo batata hai ki kis website ki link hum dena chahate hai.
iske bich aap kuch bhi likh sakate hai to user ko dikhayi dega.
Hyperlinks Ke Attributes:
Jab hum koi
hyperlink use karate hai ti uske kuch attributes hai. Jo maine niche bataye
hai.
1. Target: Yane agar hume kisi link ko new tab
me open karana hai to hum is attribute ka use karate hai.
a) Target=”_blank”
Ye attribute
hum tab use karate hai jab hume kisi site ki link new window me open karani
hoti hai.
e.g. Click Here
b) Target=”self”
Yane agar hume
jo link hai usi window me open karani hai to is attribute ka use hota hai. Agar
aap iska use na bhi kare to ye by default self hi hota hai.
e.g. Click Here
2. Rel
Rel attributes
ka use hota hai ki hum link ke sath kaun sa relation dikhana chahate hai. Rel
attributes ka use tab hota hai jab hum Blogging, me Seo ko follow karate hai.
a) Rel=”Do follow”
Iska matab hai
ye search engine ke robots ko batata hai ki link ko follow karana hai.
b) Rel=”No Follow”
Ye search
engine ke bots ko batata hai ki is link ko follow nahi karana hai. Search
engine me ye link index nahi hogi.
Images Ki Hyperlink:
Agar hum
chahate hai ki koi use jab humari image hai us par click kare to link open honi
chahiye. To hum images ko bhi hyperlinks de sakate hai. Agar hum website desing
kar rahe hai aur humane page neviagtion ke liye home, next, previous is tarah
ki images agar use ki hai to hum usee link kaise de sakate hai dekhate hai.
Syntax:

Hum is example
se understand karate hai. Maan lijiye ki hume apni site par homepage ke liye ek
image use karani hai. Jab koi user us image par click karde to wo humari site
ki homepage pe chala jana chahiye.

Niche ka example
aap copy karake khud try kar sakate hai.
Hyperlink Example:
Output:
To iss tarah
hum kisi bhi image ko link ke taur par use kar sakate hai.
To dosto aaj
humane dekha ki kaise hum hyperlinks ka use kar sakate hai. Agar aapko isme koi
dikkat aur problem ho to niche comment karana na bhule.
0 Comments: