Aap sub log ye
to janate honge ki visa ka istamal hume dusare desh me jane ke liye hota hai.
Agar kisi ko humare desh me aana hai tab uske pass humare desh ka visa hona
jaruri hota hai. To aaj hum janenge ki visa kaha se banaya ja sakata hai? Visa
kitane prakar ka hota hai.
Visa Kya Hai? Visa Ki Jarurat Kaha Hoti Hai?
Maine upar hi
bataye ki visa ki jarurat hume dusare country me jane ke liye hoti hai. Lekin
yesa nahi hai ki sabhi deshome jane ke liye visa ki jarurat hoti hai. Kuch yesi
bhi desh hai jaha jane ke liye hume visa ki jarurat nahi hoti hai.
Visa ek certificate
hota hai jispe depend hota hai ki aapko kitne din ki permission di gayi hai
desh me rahane ke liye. Agar aap kisi badi country me jane chahate hai jaise
America to aapke pass America ka visa hona jaruri hai.
Visa Kaise Banavaye:
Agar aapko visa
banana hai to iske liye aap internet par jis country ka visa banana hai wo
search kare, aapko uski puri details mil jayegai. Kyon ki harek country ke visa
ki website alag-alag hai.
Agar aap America
ke liye aaply karana chahate hai to internet par search kare “Visa For America”.
Aapko website link mil jayegai.
Dusara Way: Aap visa kisi travel agency se banava sakate hai. Ya kisi agenet
se bhi banava sakate hai.
Visa Kitane Prakar Ka Hota Hai?
Visa ke alag
alag prakar hoti hai. Uska time period alag hota hai.
1. Student
Visa:
Student visa un
logo ke liye hota hai jise dusare desh me padhayi ke liye jana chahate hai. Ya
kisi course ko complete karana chahate hai. Iske liye aapko education ka proof
dena hota hai. Student visa ka time period education ke time pe depend hota
hai.
2. Business
Visa:
Business visa
un logo ke liye hota hai jo aapna business kisi dusare desh me karana chahate
hai. To un logo ke liye business visa hota hai. Business visa ke liye aapko
apne business ka proof aur uske related document provide karane padate hai.
3. Tourist
Visa:
Tourist visa ye
har kisi ko mil sakata hai. Tourist visa un logo ke liye hai jo kisi dusare
desh me trip ke liye ya desh dekhane ke liye jana chahata hai. Aapko ye visa kisi
bhi travel agency se mil jata hai.
4. Medical
Visa:
Ye visa un logo
ki diya jata hai to apne kisi bimari ka illaz dusare desh me karavana chahate
hai. Is visa ko banane ke liye hume aapne desh ke jo hospitals hai unki taraf
se medical certificate hona jaruri hota hai. Us certificate me aapki bimari ke
bare me aur uska illaz kaha hoga uski details hogi.
5. Employment
Visa:
Ye visa un logo
ke liye hota hai jo kisi dusare desh me naukari karana chahate hai. Chahe wo government
job ho ya private job. Uske liye aapko government ya company ki taraf se job ka
proof lana padega. Is tarah ke visa ka period aapke job pe depend karata hai.
6. Research
Visa:
Agar koi
professional, ya professor kisi topic par research karane ke liye dusare desh
me jana chahate hai to unko is type ke visa ki jarurat hoti hai.
7. X (Entry)
Visa:
Agar koi dusare
desh me jakar waha bus jata hai, aur usi desh ka nagarik ban jata hai. Agar
usne bacche, ya realative phir se apne desh me vapis aana chahate to unko X
entry visa diya jata hai.
8. Journalist
Visa:
Agar aap journalist,
photographer, ya movie banane wale jo log hote hai unko journalist visa diya
jata hai.
To dosto aaj
humane jana ki visa kya hota hai aur visa ke kitane prakar hote hai.
What is multiple visa
ReplyDelete@Satrughna,
DeleteMultientry visa matlab aapke visa ki jab tak validity hai tab tak aap kitani bhi baar aa-ja sakate hai.